Wednesday, June 8, 2011

DIFFERENT STROKES

Mitaaya apni hasti ko rahe hum khaaksaari mein
Yeh daana khaak mein milkar na gul-e-gulzaar ho paaya
(THE GREAT POET IQBAL SE MAAZRAT KE SAATH)

--------
SABHI NUMAAYAAN HAI KUCH BHI NAHIN HAI TUJH SE CHUPA
MUJHE YAA TO TU JAANEY YAA JAANEY PHIR YE MERA KHUDA
--------
Bachaaya hum ko Allah ne jis ke har dhoke se
Wo karta raha hum par hamle mauqe mauqe se wo = shaitaan
Hai imaan pukhta aur rahega marte dum tak ye
Rukeinge hum na raahe deen pe kisi ke roke se
----------

BADHTI UMAR

Umr badhi jism pe jhaaiyaan aaney lageen
Ruthi khushiyaan gham ki parchaiyaan aaney lageen
Har ek daur ka hota hai apna ek alag hi waqt
Mehfilein gum huweein tanhaaiyaan aaney lageen