Monday, February 6, 2023

kya kahein

 

Humaari soch mein shaamil hai kaisi khudgarzi

Ghamon ke daur mein kehte hain khuda ki marzi

Waqt  achcha  bura  to  sab  pe  hi  aata  hai

Kabhi khushi hai  mili to kabhi aankh bhi barsi

 

Yaqeen kamzor  hai  aur nahin  imaan  pukhta

 Na aankhon mein aaye nami na dil hai dukhta

Matti ka yeh putla ban jaata  hai bu't Pathar ka

Jo na pighle kabhi na murawwat mein hai jhukta

 

Kis daur mein ye le chala zamaana hamein

Koi ek simt ho to dosto dikhaana hamein

Ajab mizaaj hai huliya hai ,ajab bartaao sabka

Jabhi zamaana yaad aata hai puraana hamein

 

Amal banaate hain achcha bura ye waqt apna

Karlo jitna bhi bura haal tum kambakhat apna

Khuda har haal mein hota hai saath bandon ke

Rawayya ho inkisaari sa  ,na rakho  sakht apna