Saturday, July 24, 2021

Arz hai

Teri baatien jhonke  e khushgawar ki manind 

Palkein khulein  jhukein teri lail o nihaar ki manind 

Muskuraahat teri gham mera bhula deti hai 

Mera wajood ban jaata hai ghamkhwaar ki manind 


Khizaan pe chaaye  haryali jaise bahaar ki manind 

Tu mujh ko lagti hai  achchi gul o gulzaar ki manind 

Mere har dukh ka madaawa kare wajood tera

 Aam sa din bhi lage mujhe koi tehwaar ki manind 


Muhabbat mein pada hoon mein teri  beemar ki manind 

Tere aane se milta hai sukoon teemaar ki manind 

Milne pe hai lagi pabadniyaan kyun is qadar apne 

Samjhdaar ho kar bhi karein sulook log ganwaar ki manind 


Zamaana lafzon se kare waar talwaar ki manind 

Khadi kar rakhi hain mushkilein deewar ki manind 

Azal se hota  chala aa raha hai yeh zulm inka 

Gale lagaaye phirte hain nafratein pyaar ki manind 



Thursday, July 8, 2021

poem

Kitne mushkil ke thay din jab yehan aaya

Na socha kabhi ye ke main kahan aaya 

Jis se milta,  lagta ye Ajnabi hai koi 

Chod ke apna jehan jab is jehan aaya 


Liye kai khwaab aankhon mein din bitaata raha

Himmat na haarna kabhi khud ko  jataata raha

Thay pareshan bahut rehti uljhanein thien kai 

Hum yehan khush hain apne ghar  bataata raha


Din pahaad sa lagta hai ghar jab yaad aata

Aisa  pal aksar har ek lamhe ke baad aata 

Kaate nahin kat’ta ,  waqt ye sakht hota hai  

Muqaabla aisa hota   jaise koi Jehaad aata 



Suna  tha ghum ka khu-gar hai to mit jaata hai ghum

To phir kyun aahein bhare rakhe kyun aankhein num 

Ghont’ta  raha  gala ghamon ka aur  kabhi gila na kia 

Basar karte rahe is tarah se Din Mahine aur Saal hum 


-

Khuli rakhi thi jo kitaab ab wo band kardo

Apnee azaad ravish ko ab paaband kardo 

Bhale hi kaam tumhaare abhi adhure  hon 

Apne saare tajurbaat   qalamband kardo