Friday, November 3, 2023

Shaer

 Mukhatib huway wo ho ke kuch hum se jab naaraaz 

Ho gaye  numaayaan unke chupe huway sab raaz 

Surkh chehra, kapkapaate hont, nafrat bhari si aankh 

Rukha andaaz, kathakali karte haath aur besuri awaaz 

——////——/////——//////—-

Guzar gaye din is tarah jaise guzre lamha koi

Doston ki sangat thi, rahe na dost tanha koi 

—-///——///::—-///::://—-

Koi Pal ho koi lamha ,raat ho , yaa phir din 

Mehfil e yaaran chalti rahe jeene ke hain 4 din 

—/—/////——-:::////———:::////::——

Musalsal kashmokash aur jad o jahed hi karaati hai 

Zindagi kum hi  deti hai hamein  aaraam ke pal 

——://—///:::://———//////::::——-

Kabhi logon mein reh kar bhi hum tanha hi rahe 

Aur kahbi tanhaayee mein log aas paas lagte hain 





Wednesday, November 1, 2023

Ashaar aur nazm

Dhoop ki hogi shiddat tujhe padega bhatakna 

Jab chal pada manzil ki or peeche na palatna 

—///——/////——/::::-////

Ugte suraj ki kirnon ka rang sunehra dekha 

Hat’ta aankhon se kaali raat ka pehra dekha 

Ho gayee hai ab din ki shruaat bohut achchi 

Subha ek dost ka hansta huwa chehra dekha 

—/////-::::::::——////////———///—////::::

Rota huwa ek Pagal dekha 

Chaand ke peeche badal dekha 

Hansta huwa ek ghafil dekha 

Deewaana ek aaqil dekha 

Bhook se marta aalim dekha 

Badi tond ka jaahil dekha 

Paani se bhara saahil dekha 

Haq pe bhaari baatil dekha 

Samandar ko saakin dekha 

Aise waison ko haakim dekha 

—:////-//:;;;///////———-:—-//:;:::


Kabhi logon mein reh kar bhi hum tanha hi rahe 

Aur kabhi tanhaee mein log as paas lagte hain 

Thursday, October 19, 2023

Ashaar

 Tinka tinka been ke laate hain ahle-khaana 

Raaton raat banta nahin khwabon ka aashiyaana 

—////-:///—-::///——////—////

Hansi ki hai koi baat ya aalam e-sakta hai

Yeh main main nahin lagta koi aur lagta hai 

—////—/////——////———-:

 

Ashaar

 Tohfa hai haath mein phir bhi udaas hain 

Kal sab bichad jaayeinge jo aaj paas  hain

—-///——-:////———-//////——-

Kahin zameen kahin paani kahin pe koh hai 

Yeh nishaaniyaan kya kum hain ke wo hai 

—-/——-////—-::////——————

Raahein hoti nahin hamwaar manzilon ki kabhi

Kai rodhe kai pathar raahon mein bichay rehte hain 

——-////——////———/::::——//:—

DIn hon araam ke ya waqt mushkil ka paday 

Ye bhi guzar jaayeinge ye soch kar tum khush raho  

—-:///—/////—::::-/::::

——/:///-;:-:::::::::——-/////———

Ashaar

 Umr ke is mod pe mustaqbil se be-fikr

Hum dhoond rahe hain  maazi apna 

——///——///———:////——-
Zindagi deti hai kai baar hamein yeh mauqa 
Do raahe pe khade sochein kahan manzil kahan dhoka 
——-///———-/////———-::/::
Kal ke liye soch kar har pal hum pareshaan  rahe
Woh kal to aaya nahin par oos pal ko ganwa dia 
——///———-////—-://:/——
Samandar sa aati huwi yeh lahar
Kabhi de sukun kabhi dhaati qahar 
Hai sab cheezon ka ek jaisa asar 
Ke ho agar zyada ro ho jaata zahar 
—-////——-/::——/::://—/
Achcha bura har Zindagi ke saath huwa hai 
Buray din sab ke khatam ho jaayein ye dua hai 
—-///—-///——://///
Khud ko aaine mein dekh kar bhi nahin lagta ke main hoon
Log hamein pehchaante nahin ro shikwa kaisa 















Tuesday, October 17, 2023

Ashaar

 Mile khushi koi to rehti hai wo pal bhar ko

Koi aaye gham to Marne talak nahin jaata 

Khushi yun lagti hai ke udta huwa ho ek Badal 

Aur gham sawaar rehta hai sar pe aasmaan ki tarah 

//——://://:———-;://///

Madham si roshni mein dabe paaon wo jo aaye 

Pehchaan liya sab ne khushbu ke ek jhonke se 

/—-:///;://///;:///:::::////

Covid ki aafton ko dunia ne saari jhela 

Rab aise daur ko to dushman bhi na kabhi dekhe

/////——;;://///;;/::::::::::///////——-

Zindagi deti hai kai baar hamein yeh mauqa

Do raahe pe khade sochein, kahan manzil kahan dhoka

Friday, October 13, 2023

Ashaar

Woh kal bhi aayega hogi jab Gulahan mein bahaar 

Muskuraate dekha hai mausam ko hum ne aaj ke din 

                 //-//////——/////—//

Gar haath koi na saath ho tu tanha lad 

Taqdeer teri likh di hai gayee tu tanha padh 

Rahein iski hamwaar bhi hain dushwaar bhi 

Zindagi ka hai yeh tanha safar,tu tanha badh 

                //——/////——/////——-//

Nizaam Dunia ka socho ke kis tarah hai bana 

Ke har nafs ko bhook aur pyaas lagti hai 

Hum kisi aur sitaare pe agar hote to 

Nahin hota wahan kuch bhi pathron ke siwa 


Ashaar

Apni haisiat dekho aur apna haasil dekho 

Har haal mein tum Khuda ka shukr bhejo 

                 //—////——-////—-//

Khyaal kisi ka le aaya labon pe muskaan 

Waqt pur-lutf ho har waqt zaroori to nahin 

                 //——///——-///——-//

Gulistaan-e-Dunia mein jab koi saath ho apna 

Ghamon ke kaante bhi tab phool ban ke khilte hain

                 //——-///———-///——-// 

Khuda se maang tu apni haisiat ko na dekh

Tu jis se maang raha hai uska martaba dekh 



Wednesday, April 26, 2023

ZINDAGI PART 2


Mustaqil hai kashmaksh mustaqil hai jang 

Hum ko nahin pata , hain zindagi ke kai rang

 

Rehte hain tere zulm se hamesha ba khabar

Behtar tha majnoon rahte hote na kabhi tang

 

Karte na fikr sab ki aur na karte hum khyaal

Huway khuwaar isliye rakha jo sab ko sang

 

Khush hain wohi aaj jo karte hain dar guzar

Logo ki zimmedaari wo riwaayaton ka dhang

 

Karta hun iltija, faqat maangu ye dua 

Le le hawaas mere bana de mujhe malang.


ZINDAGI

Tishna rahe hamesha teri kashmakash mein hum

Hai Aab 0 Mae se laba lab magar peene nahin deti

      ]

Karte hain roz faaqe rehte hain phate haal

Udh’dey huwe daaman ko tu seene nahin deti

 


Toofaan mein ghire rehte hain shab o roz hum tanha

Saahil tak pohanchne ko safeene nahin deti

 

Kehne ko zindagi hai jeene ka ek amal

Tu kyun kisi ghareeb ko jeene nahin deti

 

Jab aati hai ek roz qaza le kar ke bulaawa

Bas pal hi faqat milta hai Maheene nahin deti.

 

Monday, February 6, 2023

kya kahein

 

Humaari soch mein shaamil hai kaisi khudgarzi

Ghamon ke daur mein kehte hain khuda ki marzi

Waqt  achcha  bura  to  sab  pe  hi  aata  hai

Kabhi khushi hai  mili to kabhi aankh bhi barsi

 

Yaqeen kamzor  hai  aur nahin  imaan  pukhta

 Na aankhon mein aaye nami na dil hai dukhta

Matti ka yeh putla ban jaata  hai bu't Pathar ka

Jo na pighle kabhi na murawwat mein hai jhukta

 

Kis daur mein ye le chala zamaana hamein

Koi ek simt ho to dosto dikhaana hamein

Ajab mizaaj hai huliya hai ,ajab bartaao sabka

Jabhi zamaana yaad aata hai puraana hamein

 

Amal banaate hain achcha bura ye waqt apna

Karlo jitna bhi bura haal tum kambakhat apna

Khuda har haal mein hota hai saath bandon ke

Rawayya ho inkisaari sa  ,na rakho  sakht apna

 

Wednesday, January 4, 2023

KUCH KARLEIN

 

Zindagi khushk ho chali usey Num karlien

 Khaak hone se  pehle  koi sanam  karlein 

 Maqsad koi haasil nahin tanha  jeene se 

 Aao mil baitho apna  ghalat gham karlein

 

"Tu" aur "main" ki zindagi ko "hum" karelein 

 Tanha jo uthaaye thay ghum woh kum karlein 

Haath se haath milega to milenge dil bhi 

Be chain si tabiat ko puraman karlein

 

Nayaab ulfaton ko jaari  har  dum karlein 

 Dushmanaane mohabbat pe ab sitam karlein 

 Fikr kis ki ,  jab koi khairkhwah hi nahin 

 Yeh soch ke apne hi aap pe  karam karlein

 

Jannat ke wajood ko qadam qadam karlein 

Har naaraazgi badal kar khush faham karlein 

 Aman o aamaan se rahe gi Dunia yeh 

Har uthne waale hathyaar ko qalam karlein

 

HAALAAT

 

Haalaat  aise  badle,  mere  hosh  udd gaye

Jis mod pe pohacna tha,  wo mod mudd gaye

Kadwi si ye zehrili hai,  kudhaati huwi  zindagi

Ab bas bhi kar zaalim ,hum bohut kuddh gaye

 

Aisa koi banda bata jo tujh ko khush lage

kar leta hai shikwah koi  ,  to koi chup lage

Bardaasht karne ki bhi ek hadd hai magar

Inayaton ki miqdaar zindagi mein kuch lage

 

Phaila huwa zamaane mein jo, woh dukh hi hai

Dhoonde se nahin milta kisi ko,  wo sukh hi hai

Naayaab ho chala hai ab saamaan sukoon ka

Mile agar kahin to lage wo  ke , kuch hi hai

 

 

Honton se hansi dil ki khushi sab hai kho chuki

Hona tha ojhal is ko to ek din woh  ho chuki

Karte hain yaad maut ko jaise ke hain bichde

Jitna rulaana tha tujhe ,  yeh  zeest ro chuki

 

 

Kehte hain hum Dunia jise, jahannum hi to hai

Honton pe hansi gum aur aankh, num hi to hai

Shamil hai har tarah ke dukh Adami ki go’d mein

Phir bhi kahe zamaana ke dekho  kum hi to hai