Sunday, January 6, 2013

ALAG RANG


Ladakpan ke din, haseen jawani ya phir ho budhapa
Har daur mein pareshaniyaan hain alag rang liye huway

Be sahaara bachpan, bekaar jawani aur bimaar budhapa
Zamana khada madat ko hai magar daste-e-tang liye huway

School ki fees Aspataalon ka kharch aur mehangaayee
Kaise guzare yeh zindagi ab inhein sang liye huway

Koi bhi daur ho, jee rahe ho jaisi bhi paa ke zindagi
Khada zamaana hai ladne ko nayee jung liye huway

Kuch aur Ashaar


Kyon na ho hamein khayaal unka
Jo maazi ke dost mere saaye hain
Jin se aaj  moyassar hai khushi
Jo mere kal ke bhi sarmaaye hain.

-----

Kitna be fikr be khauf aur hai be parwah bachpan
karoon mein kya ke laut aaye phir mera bachpan


-----

Kai baras se taras gaye hain ke barsey barkha
bheeg jaaye jo sookha aangan hai mere ghar ka
bikhar jaaye taazgi hawa mein hawa bhi taaza lage
Ab baras bhi jaao sukoon mil jaaye ghadi bhar ka

------



Tassawwur ko haqeeqat mein badal kar rakh diya
Jaaney kahan se baras padi yeh ghata sahra mein

--------








Excuse me M.Ghalib

Yeh to hai hamaari qismat na wisaal-e- yaar hoga
Kyon aur ab jiye hum kis ka intezaar hoga

-----


Saturday, January 5, 2013

KUCH ASHAAR

Kiye kaam burey itney ibn-e-Adam ne aaj kal
Apney  hi  haaton apni  yeh  Duniya  bigaad li


----

KYA DIN THAY KE KHABAR NA THI KYA HOTI HAI FIKAR
AB YEH DAUR HAI ROZ HI HOTA HAI KISI FIKAR KA ZIKAR

------

Yeh hai hamaari qismat ke tu hai dost mera
Tujhi se gham gusaari tu jaaney haal mera

------

Excuse me  M.Ghalib

Hai Khuda to sab kuch hai
Woh na hota to kuch nahin hota
Kush hoon mein apney honey se
Yehan na hota mein to kahin hota

-------

Har shakhs ko haasil hai Shakhsi Azaadi yehan
Phir qadam uthtay nahin kyon jahan jee chaahey
--------



Ek Dost ki Maa Coma mein thi aur wo Dost us ki Khidmat kar raha tha us pe yeh kaha hai

Kya bataayein kaisa yeh rishta hai un se mera
Bin kahay un ke sun leta hoon mein un ki baat

----

Nahi jaati mere dil se pareshaani nahin jaati
Haq ada kar ke bhi pashemaani nahin jaati


Wednesday, January 2, 2013

shaeri

Mirza Ghalib ki bahar mein

 Yeh to hai hamaari qismat ke tu hai dost mera
 Tujhi se gham gusaari  tu hi  jaaney haal mera



Aur yeh apne andaz mein



Na ho dukh dard koi aur ghamon ki ghata na ho
Yeh dil burey na hon yeh naaraazgi hata no ho
Laut jayae ye duniya phir daur – e – azal mein
Na ho koi dost madad ko aur dushman data na ho



Na ho koi bhool mujh se apno ki koi khata na ho
Na apney dil ki suney koi aur dil bardashta na ho
Rahoon ban ke mast maula jab tak yehan jiyoon
Rishtay na hon na ho dosti aur koi waasta na ho




Makaan na ho, na ho manzil koi, raasta na ho
Bhatak jaaoon kaheen, aur koi mera pata na ho
Rahey diwaangi taari phiroon pagal sa awaara
Hai koi jagah jahaan pe yeh “aadmi “, bata na ho.






APNE PARAAYE


Ye shaer mere dost ne kaheen se dekh ke likha, shaer aisa hai

Jal jao kadi dhoop mein khamoshi se lekin
Apno se khabhi saya- e -deewar na maango


mein ne is ko aagey is tarah badhaaya....


Jee lo nafratein lay kar tum raqeebon se lekin
Habeebon se kabhi bhoole se bhi pyaar na maango


Reh lo duniya mein bina aashiyan lekin
Rishton se kabhi hissa-e- dayar na maango


Ghurbat ki zindagi mein bhaley mar bhi lo lekin
Kabni kisi azeez se tum udhaar na maango


Sah lo dukh dard duniya mein sabhi lekin
Madad kabhi kisi se tum talabgaar na maango