Toofaan mein ab saahil nazar aate hain
Aasaan zindagi ke maraahil nazar aate hain
khud hi hal hote mashaakil nazar aate hain
Hum saari mushkilon se ghaafil nazar aate hain
Khairkhwahon ki duaaon mein shaamil nazar aate hain
Adhure thay jo kaam ab woh kaamil nazar aate hain
Padha likha hai har koi, kahan jaahil nazar aate hain
Ab zamaane mein hamein sab aaqil nazar aate hain
Taabedaari karte huwe sabhi kaahil nazar aate hain
Shukraane ke padhte huwe nawaafil nazar aate hain