Saturday, November 23, 2013

Kuch aur Ashaar...

Kamon ko tu us ke samjhe ga kya
Ye na bhool khaak ka ek putla hai tu
 ---------------------------------
Teri qudrat, teri maslehat, teri marzi yeh tu jaane
Itni nematein bakhshein zara si zindgai de kar
 ----------------------------------
 Rahim tu Rehman tu Razzaq tu Kareem tu
Chuka sakoon na badla tera, apni zindagi de kar
 -----------------------------------

EK NAZM

Qadam badhtey nahin ab thakan ke maare
Dhundali ho gayeein hain zindgai ki raahein
Saamney sab hokar bhi kuch nahin aata nazar
Dhundlaa gayee hain dekho yeh meri aankhein
Dhund fizaaon mein chaa gayee kyon aaj ke din
Khuli hawa mein le rahey thay hum saansein
Dil behlaatay thay jo dost woh ab gum hain
Dhoond laaye koi tanhaayee mein hum ghabraaein
Uff nahin aayega wo waqt laut kar, jo gaya
Dhuwan jab saamney hai aaye kaise lautaayein

kuch aur

Samajh mein aayaa nahin us ka jo mazmoon tha
Ghaur hum kaise karein likhne waala majnoon tha
------------------------------------
Nahin maalum hum ko kaise umr guzri
Palon ka hamein kuch khayal kash hota
-------------------------------------
Kehne agar mein jaaon to ginti bhi pade kum
Jaane kitni khoobiyaan liye huway ho tum
 ------------------------------------- 
TU EK TAKAHLEEQ KHUDA KI...........MUKHTALIF
MUQABLA KYON KAROON MEIN TERA AURON SE
--------------------------------------
Jeena aur marna, kaifiat hain faqt
Inteqaal ek amal hai muntaqil hone ka
-------------------------------------
Va’az sunte hain log bhool jaate hain
Ab in mein wo baat kahan jo asar chode 
---------------------------------------------
 GUZAR GAYE JAB ZINDAGI KE IBTIDAAYEE DIN
TAB JAA KE MUSTAQBIL KA HAI KHYAAL AAYA
 ------------------------------------
Koi pal nahin jaata ke kuch “talash” na ho
Jaane kitney raaz dabaaye baithi hai zindagi
-----------------------------
Jo chaahu kaam kara lo marzi ka tum apni
Mujh mein kahin chupa hai fann ka behta dariya
 --------------------------
Dekh kar  chalan is zamaane ka
Lagta nahin dil ya dimagh chaahiye
 ---------------------------
 Phoolon taaroon ka zikr, bad-e- sabah ka bayan
 Khilkhilaata chehra ,Haseen shaam ka aasmaan
 Kahan se laaoon apni zindagi mein , mein in ko
 Mujhe qaidi bana rakha hai Duniyaa ne yahan

ARZ KIYA HAIIII

Kai kaifiatein bakshien adam ko hain us ne
Bebas huwa hai insaan har kaifiat ke aage
Karte hain hum dua is ummeed ke sahaare
Hum ne yeh suna dua khaali nahin hai jaati
Ahcha kya bura hai hum ko jo mila hai
Allah teri maslehat ko tu hi jaanta hai
Kaise bataaein hum ke ab aaein ge kab
Haal mustaqbil ka koi yehan jaanta nahin

HAAL - E - DIL

KARNA NA TUM GILA , KISI BAAT KA KABHI MERI TARAF SE TUM KO JO MAAYUSIYAAN MILEIN

THA JO KAL AAJ AB WO MEIN NAHIN RAHA SAB KUCH BADAL DIYA MERA KHAIRKHWAAHON NE MERE

AB BADH SAKOONGA NAA MADAT KO KISI KI MEIN KOI AAYE GAR DAAME DARME QADME SUKHNE POOCHNAY

SOCHA NA THA JAISA SILA MUJH KO MILA HAI JO KUCH BHI KIYA PHAL KA SOCHA KABHI NA THA

AB BEKAAR HO CHUKA HAI MERA JISM AUR ZAMEER KARTA THA SHAB O ROZ HIFAZAT JIS KI MEIN