Saturday, November 23, 2013

kuch aur

Samajh mein aayaa nahin us ka jo mazmoon tha
Ghaur hum kaise karein likhne waala majnoon tha
------------------------------------
Nahin maalum hum ko kaise umr guzri
Palon ka hamein kuch khayal kash hota
-------------------------------------
Kehne agar mein jaaon to ginti bhi pade kum
Jaane kitni khoobiyaan liye huway ho tum
 ------------------------------------- 
TU EK TAKAHLEEQ KHUDA KI...........MUKHTALIF
MUQABLA KYON KAROON MEIN TERA AURON SE
--------------------------------------
Jeena aur marna, kaifiat hain faqt
Inteqaal ek amal hai muntaqil hone ka
-------------------------------------
Va’az sunte hain log bhool jaate hain
Ab in mein wo baat kahan jo asar chode 
---------------------------------------------
 GUZAR GAYE JAB ZINDAGI KE IBTIDAAYEE DIN
TAB JAA KE MUSTAQBIL KA HAI KHYAAL AAYA
 ------------------------------------
Koi pal nahin jaata ke kuch “talash” na ho
Jaane kitney raaz dabaaye baithi hai zindagi
-----------------------------
Jo chaahu kaam kara lo marzi ka tum apni
Mujh mein kahin chupa hai fann ka behta dariya
 --------------------------
Dekh kar  chalan is zamaane ka
Lagta nahin dil ya dimagh chaahiye
 ---------------------------
 Phoolon taaroon ka zikr, bad-e- sabah ka bayan
 Khilkhilaata chehra ,Haseen shaam ka aasmaan
 Kahan se laaoon apni zindagi mein , mein in ko
 Mujhe qaidi bana rakha hai Duniyaa ne yahan

No comments:

Post a Comment