Monday, December 27, 2010

joke

Ek dost ne apne doosre dost se poocha

Yaar koi aisi baat bata ke kuch kaam waam naa karein aur khoob paisa
bhi mile baghair gym jaaye sahat bhi achchi bani rahe aur baghair
school jaaye dimaag bhi achcha rahe.
Doosre dost ne kaha : theek hai tou sun roz jaldi sone ka aur jaldi
subah ko uthne ka bas.

Pehle ne kaha is se kya hoga kya dault aur sahat aur mil jaaye gi aur
dimaag bhi
Doosre ne kaha apun ko itna maalum hai kya angrezi mein kahaawat hai
bole tou "Early to bed and early to rise make the person health
wealth and wise."

Tou bas shroo ho jaa jaldi sone ka aur jaldi uthne kaa..ab jaa saat
baj raila hai jaa ke so jaa , yeh sab mangta hai tou!!!!!!!!!!!
------------
Kaisa laga
Apun ka banaya hua hai yeh joke. :-)

DUA FOR ALL

Duniya mein teri bus har tarf aasaaniyaan ho sahulat ho
Pareshaaniyaan naa hon aaraam ho fursat ho mohlat ho
Koi fikr naa dukh naa gham naa uljhan ka pal milay tujhe
sukh hon muskuraahatein hon aur khushiyon ki daulat ho

DO KAAM

Subah uthnay ke baad bas do hi kaam ka hona hai
Sapno ka peecha hain karna, yaa phir se sona hai

Wednesday, December 22, 2010

MUSHKIL YA AASAAN

ZINDAGI KABHIE MUSHKIL TO KABHIE AASAAN LAGTI HAI
YEH HUM PE HAI MUNHASIR ISE HUM JIS TARAH SE LEIN

Monday, December 20, 2010

NA HOTA

Koi hota na bachcha boodha
Koi jawaan na hota

Koi kamzor na hota
Koi balwaan na hota

Sabhi ko mil jaatey kinaare
Koi toofaan na hota

Hote rehte ajoobe har din
Koi hairaan na hota

Bane rehte sabhi farishte
Koi shaitaan na hota

Gunah karta na kabhi koi
Koi pashemaan na hota

Khushiyon bhari hoti zindagi
Koi pareshaan na hota

Agar hota aisa mumkin to
Koi insaan na hota

Manzil dour nahin

Hausley hain buland aur khwaab bhi hain naye

Kholey baahein dunia khadi,intizaar tera karey

koshish tu kar , kar justuju hoga haasil tujhey

Koi manzil dour nahin jo kar sako na tum fateh

Thursday, December 16, 2010

WAQT NAHIN HAI

WO KHAYAAL JINHEIN HUM SOCHNA CHAAHEIN
WO MANZILEIN JINHEIN HUM PAANAA CHAA HEIN
WO QISSAY KAHANIYAAN JO HUM PADNA CHAAHEIN
AUR WO DOST JINHEIN HUM ROZ MILNA CHAHEIN

DIN BAHUT CHOTA HAI IN KAAMON SE NIMATNEY KE LIYEE
NIKAAL TU WAQT ACHCHA IN MEIN KUCH KARNEY KE LIYE

Wednesday, December 15, 2010

SAFAR

TUM ZINDAGI KI KASHTI MEIN SAWAAR HO AGAR
TO TOOFAANON KA OONCHI MAUJON KA KYA DAR
ISI SEY CHAMKEY AUR NIKHREY GA TUMHAARA HUNAR
GUZAR JAANEY DO IN KO,RAKHO JAARI TUM APNA SAFAR

WISH

Har din khushi se guzre har lamha har pal ho haseen
Mil jaaye wo sab khushyan jo chupi baithi hain kaheen

Sunday, December 5, 2010

WAADA

Khuda ne kiya nahin yeh waada
Ke aasmaan rahey neela sadaa
Suraj ki garmi ho barish se judaa
Miley khushi na ho ghamon ka nishaan
Bina dard ke ho hamein aman adaa
Khuda ne kiya nahin yeh waada


Khuda ne kiya hai yeh wadaa
Ke taaqat mein din ki karoonga ataa
Aaraam mazdooron ka na hoga lapataa
Roshni ho gi raahon ka hoga pataa
Maaf hongi pichday huon ki khataa
Madad mileygi hai ooperwale ne kahaa
Hamdardi sabhi ko miley ho sabhi ka bhalaa
Pyaar bhi aisa miley kabhi ho na fanaa

LONG LIVE

ZINDAGI KO KYON TU SANJIDAGI SE LE
KHUSHIYON SE ISE BHAR LE PAL JO TUJHE MILE
KHUSHIYAN BADHA DETI HAIN ZINDAGI KE SAAL
KHUSHIYON SE SAALON KO BHI NAYEE ZINDAGI MILE

BE HAPPY

JO LAMHA GUZAR RAHA HAI
HAR PAL YEH KEH RAHA HAI
TU HANS KE JEE LAY MUJHKO
KYON MAR KE JEE RAHA HAI

DUA FOR MY KIDS

MERE BACHCHON KI ZINDAGI MAULA TOU AASAAN KAR DE
MOYESSAR UNHEIN ZINDAGI KAA SAARA SAAMAAN KAR DE

DUBAI KI MEHANGAAI - DESCRIBED IN MUMBAI STYLE

Ek Naukar maalik ko botla ha……..

Aap ko to malum hai saab ke aaj kal…. Mehangayee ka soch ke Maayee(mother) yaad aati hai
Etisalat (yehan ki telephone company) ka bill dekh kar….bill ko . Ita ….sala ….laat…. marne ko dil bolta hai ke maaro dus aur gino ek..lekin kya kare ga mishtake apun ka hai apun ko bolne ka ziyaada aadat hai woh phone pe bhaari padta hai. bill dekh ke…

DEWA (Dubai electiricity and water authority) ka bhi yech haal hai….. Deva (God) yaad aata hai ….paani Deva phookkut mein diya per yeh sala zameen wala sab khalaas kiya aur ab khud bana kar paise mein bechta hai!!!

Ghar ka rent… sun kar kamar bent …ho jaati hai sahib….itne paise mein to pehle log mehal mein rehkar zindagi bhi guzaar dete thay to bhi bachta tha ab to rent ke waaste zindagi bhar karza lo aur phir bhi ghar tumhaara nahin….. humaara idhar guzaara nahin….

School ki fees ka itna badhna aisa lagta hai ke sahib everest ki choti pe jaise isko hai chadna …….aajkal KG ki fees mein logon ne puraane zamaane mein Doctory padh li hai balke UK, USA se PHD kar li hai….

Daal aatey ka bhav… sunkar dil bolta hai kuch nahin pakav…

Hotel mein bhi jaayega to kya khayega….roti ek ab 3 rupiya …..pehle 3 roti ek rupiya…………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………..
Abhi ek kaam ho sakta hai tum apna company band karega apun apna naukary khatam karega…aur phir dono paagal ka maafiq ghume ga …

khaali jeene ke waste phukat ka itna jhanjhat kyon mangta hai?????????????

NOT SATISFIED WITH WHAT YOU HAVE

AISE AKSAR ZINDAGI MEIN LOG KAYEE HOTAY HAIN
JO HOTA HAI , US SE WOH KHUSH NAHIN HOTAY HAIN
SCHOOL WAALE KO COLLEGE KA KHWAAB HOTA HAI
COLLEGE WAALA NAUKRI PAANE BETAAB HOTA HAI
NAUKRI WAALA PHIR SHAADI KI SOCHA KARTA HAI
AUR SHAADI WAALA BACHCHON KI JALDI KARTA HAI
BACHCHE HUYE TO FIKR YEH JALDI BADAY HO JAAYEN
TAAKE PHIR KAAM PAR HUM APNE SHUROO HO JAAYEN
KAAM PE JAANE PAR PHIR RETIRE KAY HOTAY SAPNAY
AUR PHIR MAUT KO QAREEB WOH PAATAY APNAY
TAB YEH JAA KE KAHIN HOTA HAI UNKO AHSAAS
KOI BHI APNA JAB HOTA NAHIN HAI UN KE PAAS
MAIN YEH KYA RAHA KARTA , YEH MAIN NE KYA KIA
GANWAYA WAQT, KHUSHIYAN, MAIN ZINDAGI NA JIYA
TUM APNAY SAATH YEH HO NAA KABHI AISA KARNA
ZINDAGI ‘AAJ’ HAI , TUM AAJ MAZAY SE JEENA

Saturday, December 4, 2010

BECHARI ZINDAGI

Bechaari Zindagi ……..


Jab kisi bachpan ki pehli subah hoti hai……………………………..means when somebody is born
Rooh oos waqt bachche ki bahut roti hai
Khush hotay hain yehan sab jahan waale
Kudrat kaam yeh anjaam kar ke soti hai

Guzarta hai yeh bachpan beniyaaz horkar
Ziddi sa kabhi aur kabhi bhola ban kar
Chalata hai yeh sab pe sirf apni marzi
Jo paana ho bas rehta hai woh paakar

Guzar ke bachpan se aati hai phir jawaani
Har jawaani ki hoti hai alag ek apni kahani
Karta hai ghalti jawaani jo paakar
Rota rehta hai woh saari ziindagaani

Aakhir mein jaakar jab aata budhaapaa
Achcha nahin lagta hamein apna saraapaa
Har cheez ke ho jaate hain ho kar hum mohtaaj
Kaam naa aaye karein ghussaa ya jalaapaa.

Zindah reh kar Zindagi har pal ko marti hai
Be khwaabi mein rehti hai aur har waqt darti hai
Hoga khuda jaane ke ab anjaam kya mera
Guzre huay dino ko woh paane tarasti hai

Aati hai sadaa aayaa jahan se wahan laut ja
Phir jakad leta hai tab oose maut ka panja
Koi rok na sake oose phir laut ke jaane se
Hoti azaad hai rooh choot jaata hai shikanja.

Saturday, November 27, 2010

PRESENT

GUZRE HUWAY WAQT KA AFSOS TU NA KAR
KAL JO CHALA GAYA KYON USKI HO FIKAR
KAL KO KYA HO KISEY ISKI HAI KHABAR
KAL JO AAYA NAHIN KYON USKA HAMEIN HO DARR
AAJ KO KHUSHIYON SE BHARO HO KE BEFIKAR
AAJ MEIN HI JIYO KARKE KAL KO DARGUZAR

PARI YAA TU

JANNAT SE MERA KHAWAAB MEIN EK DIN GUZAR HUA
KHUSHIYON BHARI DAGAR PE YEH MERA SAFAR HUA

JANNAT MEIN JITNI PARIYAAN JO DEKHIN TUJHI SI THI
CHAAYEE THI SHAKLON PE JO NOORAANI TUJHI SI THI

MUSKURAATI WOH TO LAGTA KE TU MUSKURAAYEE HO
KASHISH AANKHON MEIN BHI UN KI TUJHI SE AAYEE HO

GUZARTI JAB WOH HAWAAON MEIN KHUSHBOO BHIKAR JAATI
KE JAISE MAHAK JAATI HAI UDHAR KO TU HAI JIDHAR JAATI

WOH BOLTI JAB TO LAGTA KE KUCH KAHAA TU NEY
JAISE KAANON MEIN AMRIT SAA BHAR DIYA TU NEY

YEH SACH HAI KE HAASIL HO JISEY TERI SANGAT
MIL JAAYE USKO DUNIYA HI MEIN USKI JANNAT

Wednesday, November 24, 2010

SOORAT AUR SEERAT

KIYA HAJJ HUM NE AUR PHIR SIR KO MUNDHAA LIYA
SEERAT SUDHAAR KE HUM NE YUN SOORAT BIGAAD LI

ZINDAGI - AAJ KAL

Chalti hai dikhaawe aur dhakosley sey
Jeena padta sabhi ko yehan housley sey
Har roop aur rang mein yehaan banaawat hai
Koi khaalis nahin har cheez mein milaawat hai
Kehtey hain ke yeh ab ek machine hai
Hai kaali peeli phir bhi rangeen hai
Koi nahin bacha hai yehan Marz se
Har ek daba hua hai yehan Qarz se
Sabhi bhaagte yehan apne Farz se
miltey ek doosre se hain apni Gharz se
na pyaar kaheen na khuloos hai
har taraf nafraton ka juloos hai
kisi ko ab yehan kisi ki fikar nahin
kaun jiya yaa maraa kuch khabar nahin
har koi daudta subh shaam ek circle sa
yeh sab lagta hamein hai ek miracle sa

Monday, October 25, 2010

APNEY KAAM SE KAAM RAKHO

SAB KAREIN WOHI KAAM JO CHAAHEIN HUM HAIN KARNA
JO RAKEHIN YEH UMMEED DOOSRON SE KHOTEY HAIN WAQT APNA
KARNA HAI JO KAAM TUM KO NAZAR TUM US PEY RAKHO
KARO APNA KAAM TUM DOOSRON PE NAZAR HAI KYON RAKHNA

Saturday, October 23, 2010

ZINDAGI JAB KHUSHIYON KA HO JALWA

JAB ZINDAGI KHUSHIYON KA JALWA HOTI HAI
SUBHA BANARAS SI AUR SHAB MAALWA HOTI HAI

HAR MANZAR LAGTA HAI HO KHWABON KA JAISE
KUDRAT KE BANAAYE HUEY RANGEEN KHAAKON KA JAISE

KAANTA BHI LAGE AANKHON KO HO JAISE PHOOL
BIN MAANGE DUA HO GAYEE HO JAISE QABOOL

DOST AHBAAB SABHI KA SAATH REHTA HAI
SAR PE BUZURGON KA HAATH REHTA HAI

CHOO LEIN JIS CHEEZ KO WOH SONA HOTI HAI
BADI BADI CHEEZ UNKE AAGAY KHILONA HOTI HAI

HOTI HAI JAWAANI UNKI SHUROO SAAL SAATH SE SAATH = 60
ZINDAGI GUZARTI HAI UNKI NAWAABI THAATH SE

DUA KARTA HUN MILAY ZINDAGI TUM KO AISI
SAATH KUDRAT TUMHAARE FIKR TUM KO KAISII

Wednesday, October 20, 2010

BEFORE and AFTER

SAID BY A MAN ……..(NOT ME AS I HAVE NOT SEEN MY WIFE BEFORE MARRIAGE)

BEFORE MARRIAGE:


The beauty you have lot

The nature. wow.. you have got

I praise and thanks to God

I don’t hesitate to say it loud

You stand alone in the crowd

You are the one who made me proud

I say it with confidence you have any doubt


AND AFTER THE MARRIAGE

Don’t know… why you? To my house I brought

I was single and enjoying before I got caught

It was raining in my life now dying of draught

To deal with you like a battle I fought

Don’t know where you were taught

No rescue till my death I thought

ENJOY EVERY MOMENT

NA TABAH HON KHUSHIYAN SABHI IS DARD KE EK LAMHE SE
ZINDAGI KO NA TOULO TUM GHAM KE EK HI MAUSAM SE
KARO BARDASHT TUM AAJ MUSHKILON KE IN THAPEDON KO
CHALA AAYE GAA WAQT ACHCHA AB , YAA PHIR KAL KAHIN SE.

Friday, October 15, 2010

DUNIYA NAYEE

MILEY SAATHI JISEY NAA MATLAB HO KISI BAAT KA
MILEY NEEND BIN KHWAABON KE .........AISI RAAT KA
DE MUJHEY MERE RAB AB................... JEENEY KE LIYE
DUNIYA NAYEE KAY DARR NAHIN MUJHE WAFAAT KA

MANZOOR-E-KHUDA

JIS DIN KE HAINHUM MUNTAZIR WOH DIN NAA AAYEGA
HAR LAMHAA KHUSHI KAA HO PAL WOH DIN NAA AAYEGA
BAANDH RAKHI HAIN HUM SABHI NE JO UMMEEDEIN
HON POORI YEH AARZOEIN WOH DIN NAA AAYEGA

AAO HUM AAJ FAISLA YEH KAREIN
MEHNAT KAREIN AUR AARZOO-E-PHAL NA KAREIN
FAISLA KUN HON JO HAALAAT AISEY MAUQON KO
BHAROSEY RAB PE RAKHEIN KHUD HAL NA KAREIN

JO BHI HOTA HAI WOH RAAZI BA RAZAA HOTA HAI
KUCH BURA HO BHI TO US MEIN BHI BHALA HOTA HAI
YEH SABHI HOTA HAI USKI KISI MASLEHAT KE TAHAT
YEH SACH HAI KE WOHI HOTA HAI JO MANZOOR-E-KHUDA HOTA HAI

NASEEB APNA APNA

KHUSHI KAHAN SAB KE DAAMAN MEIN
HANSNAA TO SAB KA NASEEB NAHIN
DIN RAAT JO AANSOO PEETE HAIN
MADURA TO SAB KA NASEEB NAHIN

MAA KI HUM KYA BAAT KAREIN
MAMTA TO SAB KA NASEEB NAHIN
RISHTEY SABHI ACHCHE HOTEY HAIN
NIBHNAA TO SAB KA NASEEB NAHIN

DOST TO SAB HI RAKHTEY HAIN
WAFA TO SAB KA NASEEB NAHIN
GAIRON KA GILA KYON HUM KAREIN
APNAPAN SAB KA NASEEB NAHIN

RAATON MEIN NEEND NAHIN AATI
SONA TO SAB KA NASSEB NAHIN
AANKHON MEIN AANSOO HOTE HAIN
RONA TO SAB KA NASEEB NAHIN

PAISON KI ZAROORAT SAB KO HAI
DAULAT TO SAB KA NASEEB NAHIN
HO JAAYEIN HUM SAPNON MEIN DHANI
SAPNE TO SAB KA NASEEB NAHIN

ZINDAGI SE KYON HUM MAANGE WAQT
AMRIT TO SAB KA NASEEB NAHIN
PAL PAL KO TO HUM MARTEY HAIN
JEENA TO SAB KA NASSEB NAHIN

BEDARD ZAMAANA

NAA AANKHON MEIN HAI REHAM NAA HI DILON MEIN IN KAY DARD HAI
TERI TAKLEEFON KO KYA JAANEY YEH ZAMAANAA BADA BEDARAD HAI
--------
KISI KO KABHIE KOI BAAT ASAR NAHIN HOTI
KOI MARTA HAI MAREY KHABAR NAHIN HOTI
HOTI HAIN KUCH RAATEIN BHAYAANAK ITNI
KAY IN RAATON KI PHIR SAHAR NAHIN HOTI
-------
MERI KYA HAI YAHAN HASTI MERA YAHAN KYA MUQAAM HAI
YEH SHAHAR HAI PATHRON KA YAHAN MERA KYA KAAM HAI.

-------
KOI PEHLOO SUKOON KA NAZAR NAHIN AATA
KOI AANSOO KHUSHI KA NAZAR NAHIN AATA
HUM KO NAA JAANEY YEH SAZAA MILI KYON KAR
ABHI GUNAAH BHI KARNA HAMEIN NAHIN AATA
---------
KAB KHUSHIYON BHARA PAL DUKH MEIN BADAL JAAYEGA
KAUN JAANEY YEH KYA LAAYE AANEY WALA KAL JO AAYEGA

MOHABBAT - EK KAIFIAT

MOHABBAT EK JAZBA HAI
KE JISKA DIL PE QABZA HAI
HAI YEH WOH ANMOL KAIFIAT
MILEY JIS KO WOH SAMJHA HAI

KOI JAB PYAAR KARTA HAI
TOU KHUD PE PYAAR AATAA HAI
BADALI LAGTI HAI YEH DUNIYA
QUDRAT PE NIKHAAR AATAA HAI

PHOOL NAYE SE LAGTEY HAIN
BAHAAREIN HAR SIMT HOTI HAIN
DIL AJAB SAA DHADKEY HAI
SAANSEIN BHI PHIR RUKTI HAIN

FIZAA MEHAKI SI LAGTI HAI
NASHAA AANKHON MEIN REHTA HAI
TASAWWUR HON PAHADON SE
HATAA KAR DIL BEHAKTAA HAI

AUR TABIAT GUNGUNAATI HAI
EK MASTI SI CHAATI HAI
SABHI ACHCHE SE LAGTEY HAIN
DIL KO HAR CHEEZ BHAATI HAI

HAAR JEET

ZINDAGI MEIN JEET SAB KO GAWAARAA HAI
TO PHIR HAAR BHI ISKA EK GEHWAARAA HAI GEHWAARAA = PART OF IT
YAAD RAHE KAAMYAABI SABKO MILTI NAHIN
HO NAAKAAM TO MUQADDAR HAMAARAA HAI

LAGE THOKAR TO UMMEED EK SAHAARA HAI
NAA DARO GAR HAALAAT NE MAARAA HAI
PAAO GEY WOH SABHI JO CHAHIYE TUM KO
KARO KOSHISH KE YEH FARZ TUMHAARA HAI

GOD TO CRITICS

Jisey mein ne hai banaaya usey tum kya parkho gey
Tumhein aankhein bhi di hain mein ney aur nazar bhi

NASEEHAT (ADVISE)

Waada khushi mein karney ka hausla na kar
Ghussa agar aaye tujhe to tu koi faisla na kar

Wednesday, September 29, 2010

Naam

Likho ge naam apna rait pe to dhul jaayega
Likha jo aasmaano pe hawa mein mil jaayega
Karo ge kaam achchey zindagi mein tum apni
Tou logon ke dilon mein naam tera ghul jaayega

Tuesday, September 28, 2010

FREEDOM

CHAAHE KAISA HI ANDHERA HO CHAAYA GHAR MEIN
JALA DO DIYA HO GAA ROSHAN YEH US PEHR MEIN
ZINDAGI  KA BHI HOTA HAI YEH HI USOOL
TODO BANDISHEIN MILEY AZAADI BAS PAL BHAR MEIN

Monday, September 20, 2010

HAAL - AAJ KAL

Maashra kehtay hain jise hai bhara ghubaar sey
Juda nahin hai haal ek beemaar ka beemaar sey
Kya tanqeed karoon amal jo dekhoon mein tera
Baaz haalaat ne rakha hai mujhe ikhtiyaar sey

Dekho shikwaa na karein dost kabhi dildaar sey
Kay bartar hai mera pyaar yaar tere pyaar sey
Jo kartay hain pyaar woh jatlaatay nahin kabhie
Pyaar ghat jaatay hain khwahmokhwa ki taqraar sey

Koi bacha hi nahin Duniya ki yehan maar sey
Apna bas jo chalay toud dein sar deewaar sey
Paagal kiya hai shab-o-roz ki gardish ney hamein
Aaina dekhein to dartey hain apney deedaar sey

Dabay baithey hain hum gunaahon ke baar sey
Dua karein tou darr lagta hai tere inkaar sey
Hum gharazmand hain bebas hain hamaari sun ley
Touba kartey hain hum aaj ab burey kaar sey

Sunday, September 19, 2010

TEMP STAY :-)

RAHTE HAIN PALKON PE HUM UN KI BULBULON KI TARAH
ABHI UBHRE HI THAY KE PAL MEIN FANAA HOTAY HAIN

HUSN

Saaya hai tera jo aasman pe hai
Chaand to yahaan zameen pe rehta hai.

Wohi surat hai wohi moorat hai teri
Yeh jahan saara, jisko ke pari kehta hai.


Noor sa chehra jheel si aankhein kaliyon si muskaan
Husn ka ek dariya hai jo tujh mein behta hai.


Aaina bhi tere naaz o adaa seh naa sake
hamaara dil hi hai jo har andaaz tera sehta hai

Monday, September 13, 2010

BAAQI MERA NISHAAN RAHEY

MEIN GUL BANOON JITNA JIYUN MEHKOON AUR MURJHAAOON
NA KAY BANOON DARAKHT AUR JAHAAN KO NA MEHKAAOON

WOH KIRAN BANOON JO ROSHAN HO JAAYE BAS PAL BHAR KO
NA KAY BANOON UJAALA AISA NA PAHOCHEIN BHATKAY GHAR KO

AUR BANOON MEIN KUCH DEIR KO AISA TAARA JO DAMAK JAAYE
NA KAY BANOON AISA SAIYYAARAH * NA JIS MEIN CHAMAK AAYE

NAA HI WAQT MERA KHARAAB HO JO MILEY WAQT BANAA RAHEY
MUJHE KHUDA DEY AISI ZINDAGI KAY BAAQI MERA NISHAAN RAHEY


*SAIYYAARAH = PLANET

Thursday, September 9, 2010

KAASH ZINDAGI

KAASH ZINDAGI EK HASEEN SAFAR HOTI
AWADH MEIN SHAAM BANARAS MEIN SAHAR HOTI
MILTE NAA RAASTE HAMEIN TEDHE MEDHE
HUMWAAR, KHUSGAWAAR RAH-GUZAR HOTI

KAASH ZINDAGI EK HASEEN SAFAR HOTI
CHAHATE HUM JIS TARAH BASAR HOTI
KOI KAANTA NA MILTA RAHON MEIN
PHOOLON SE BHARI DAGAR HOTI

KAASH ZINDAGI EK HASEEN SAFAR HOTI
SAMANDAR KI EK PYAARI SI LAHAR HOTI
UTHTAA TUFAAN NA KABHI JIS MEIN
AISA PUR SUKOON SA “BAHAR” HOTI

KAASH ZINDAGI EK HASEEN SAFAR HOTI!!!!!!!!!!!!!!!

Tuesday, September 7, 2010

LIFE ....THE SAD PART

Thnx Shilpa and Busra thnx Neelu
here is a new one in english.
**************
It is a long way of struggle
There is no end to trouble

Who says the life is sweet

Happiness is like a bubble
Sadness gets every step double

Who says the life is a treat

You can’t hold, it is like the rubble
Few in billions get the noble

Who says life is to greet

Sunday, September 5, 2010

KHOJ

ZINDAGI KAT-TI HAI HAR WAQT KISI KI KHOJ MEIN
MILE AMAN, KAAMYAABI, DOST AUR PYAAR KI ,SOCH MEIN
RUKO ZARA KABHI AUR KHUD KI ROOH KO KHOJO
TUMHEIN LE JAYEGI YEH KHOJ TUMHAARI AAGHOSH MEIN

kabhi khushi kabhi gham

Kabhi suraj bhi baadlon mein apni roshni khota hai
Kabhi kitney hi badal chayein roshan suraj magar hota hai
Phir kyon yeh ghabraahat agar badal ghamon ke chayein 
Hogi khushiyon ki bhi baarish Nadaan kyon tu ab rota hai

POOR HUSBAND

PATI KHADE RAHE JO MERE AAGEY HAATH JOD KE
KAREY JO KAAM MERA APNEY SAARE KAAM CHOD KE 
MILEY AISA KEY JIS SEY HO MERI DUNIYA ROSHAN 
PHIR BHI MEIN KAHOON USEY LA TAAREY TOD KE

THE GAME

ZINDAGI TAASH KE PATON KA KHEL HAI
NA ISKE MOAJJID* TUM NA QANOON RAKHEL HAI - ( MOAJJID = INVENTOR, )

MILEY BAANT MEIN PAATEY IN PE IKHTIAAR NAHIN
KHELNA HAI MAGAR PADTA BHALEY TAYYAR NAHIN

ACHCHA KHILAADI TO BUREY PATTON SE BAAZI MAAREY
KHILAADI HO BURA ACHCHAY PATTON SE BAAZI HAAREY

ZINDAGI KHEL HAI ISKEY TUM HO EK KHILAADI
DEKHNA YEH HAI KE TUM HO KHILAADI YA ANAADI

I HAVE IN YOU

The trust and faith which I want in you
The happiness and love which is true
The support for my dreams to see through
The effort to be together no need to prove


I thank you for that, as all this I have in you
I’ll Choose you if told to do between heaven n u

Tuesday, August 31, 2010

you will come out of it

Neelu as per request i am psoting this english one but cant say is upto the standard of you people as i am the person from Urdu medium.


If passing through difficult days
No shadow but hot sun rays

You walk don’t sit
You will come out of it

World is a journey of puzzled ways
And if confused to reach your place

Smile you are fit
You will come out of it

In life if left behind in the race
And no path of success to trace

Pick up your kit
You will come out of it

Life is a trial and it has a case
Be brave as you are and face

Give it a twist
You will come out of it.

Himmat

Ummeedien toot chuki thi, shikast ko jaise mein choo chuka tha
Aansoo bas behney ko thay khushiyaan mein kho chuka tha

Phir hawa ke jhonkay ne chehra jaisay mera ho chuwa
Mera wajood jaise paron si garm aghosh mein ho ghira hua


Sadaa yeh aayee kaano mein mere na haar maan abhi tu
Mein hun na tere saath yeh jaan le tu kar himmat kar justaju

Friday, August 27, 2010

MUQAABLA

Aao in dukh bhare dino mein hum khushiyon ke pal khojein
Kinaare kuch aise paa lein dhoondati reh jaayein toofani maujein
Mushkil hi hai ke sukh se bhari ho jeevan ki yeh dagar
Kal ke aane waale ghamon ko hum phir aaj kyon sochein

Zakhm taaza hon ya puraane kyon kar hum kharonchein
Zindagi ke gulshan ko hum apne lahoo se seechein
Milte hain har mod par dhoke dhagha baazi ke
Muqaabla karein tan ke aur apni manzil ko pahunchein.

confused

AJAB SA HAAL HAI REHTA AJAB SI HOTI KAIFIAT HAI MERI
KABHI DIL KAHE KUCH NAHIN TERA KABHI LAGE DUNIYA HAI MERI.

Monday, July 26, 2010

2 qadam

Do qadam ka saath hi bahut hai zindagi ke liye
warna hum yehan tanha aatey aur chaley jaatey hain