Friday, April 14, 2017

WAADA

Khuda ne kiya nahin yeh waada
Ke aasmaan rahey neela sadaa
Suraj ki garmi ho barish se judaa
Miley khushi na ho ghamon ka nishaan
Bina dard ke ho hamein aman adaa
Khuda ne kiya nahin yeh waada


Khuda ne kiya hai yeh wadaa
Ke taaqat mein din ki karoonga ataa
Aaraam mazdooron ka na hoga lapataa
Roshni ho gi raahon ka hoga pataa
Maaf hongi pichday huon ki khataa
Madad mileygi hai ooperwale ne kahaa
Hamdardi sabhi ko miley ho sabhi ka bhalaa
Pyaar bhi aisa miley kabhi ho na fanaa

Friday, February 17, 2017

Achche din

Toofaan mein ab saahil nazar aate hain
Aasaan zindagi ke maraahil nazar aate hain


khud hi hal hote  mashaakil nazar aate hain
Hum saari mushkilon se ghaafil nazar aate hain


Khairkhwahon ki duaaon mein shaamil nazar aate hain
Adhure thay jo kaam ab woh  kaamil nazar aate hain


Padha likha hai har koi, kahan jaahil nazar aate hain
Ab zamaane mein  hamein sab aaqil nazar aate hain


Taabedaari karte huwe  sabhi kaahil nazar aate hain
Shukraane ke padhte huwe nawaafil nazar aate hain

























Friday, February 10, 2017

ASHAAR

Jab  hota hoon tanha mein  khud se baatein karta hoon
Mujh ko aisa lagta hai mein tujh se baatein karta hoon




-------------x------------------------------------------------


Zindagi ne hamein laa ke kahan choda hai
Nafratein hain bahut yehan pyaar thoda hai
Chal nikla hai dhoke aur dushmani ka daur
Aaj har shakhs ne qanoon-e-qudrat toda hai




-------x--------


Zindagi veeraan si kyun lagti hai
har dagar sunsaan si kyun lagti hai
Khushiyaan to bahut milti hai magar
yeh mehmaan si kyun lagti hain


-----x--------


Waise to Zindagi pareshaaniyon se ghiri hai
Har waqt ek nayee museebat aa ke khadi hai
Kyon Darr ke phir har pal ko guzaarein apne
Zindagi jiyo aise ke ye lambi nahin badi hai


-----x----



Khushiyan - a thought

Duniya mein Khushiyaan bhi Paani, Hawa aur Rait (Sand) ki tarah bahut hain lekin inko hum muthi mein kahan band kar sakte hain.




Mile jo gham hamein palte hain saath marne tak
Khushiyaan hain rait ka dher aati hain phisal jaati hain