Wednesday, April 26, 2023

ZINDAGI PART 2


Mustaqil hai kashmaksh mustaqil hai jang 

Hum ko nahin pata , hain zindagi ke kai rang

 

Rehte hain tere zulm se hamesha ba khabar

Behtar tha majnoon rahte hote na kabhi tang

 

Karte na fikr sab ki aur na karte hum khyaal

Huway khuwaar isliye rakha jo sab ko sang

 

Khush hain wohi aaj jo karte hain dar guzar

Logo ki zimmedaari wo riwaayaton ka dhang

 

Karta hun iltija, faqat maangu ye dua 

Le le hawaas mere bana de mujhe malang.


ZINDAGI

Tishna rahe hamesha teri kashmakash mein hum

Hai Aab 0 Mae se laba lab magar peene nahin deti

      ]

Karte hain roz faaqe rehte hain phate haal

Udh’dey huwe daaman ko tu seene nahin deti

 


Toofaan mein ghire rehte hain shab o roz hum tanha

Saahil tak pohanchne ko safeene nahin deti

 

Kehne ko zindagi hai jeene ka ek amal

Tu kyun kisi ghareeb ko jeene nahin deti

 

Jab aati hai ek roz qaza le kar ke bulaawa

Bas pal hi faqat milta hai Maheene nahin deti.