Kaam hota nahin jab tak na pade laat
Laanat rishwat ki phaili hai waba ki tarah
Kaam hoga tabhi jab kuch dein saughaat
Duniya ne lagaaye hain hazaaron pehre
Kahin kaam camera kahin satellite hai kare
Phir bhi kar jaate hain kaam jo karne waale
Naqaab mein rakhte hain wo apne chehre
Dastoor hai majboor hai Insaan yehan
Zillat , izzat mein ab farq hota hai kahan
Be ghairat sa bana phirta hai bas kaam bane
Lage khudgharz logon se bhara hai yeh jehan
Raho ge seedhay to kehlaao ge tum paagal
Koi un dekha karega , koi niklega sambhal
Qadar is qadar gire gi ke har shakhs tumhein
Khada na paas karega, kahega …aage chal