Saturday, March 17, 2018

SHAER

Mushkilon ke toofaan ko saahil karna seekh
Pareshaaniyun mein sukoon haasil karna seekh
Udaas waadiyun mein shajr hansi  ke ugaa le
Ghamon mein  khushiyan shamil karna seekh


-----x-----x-----x------x------x


Jo bhi chaaho wo mil jaaye to zindagi kaisi
Jo bhi mila hai, usay  paa ke ho khushi kaisi
Naashukra pann to Admi ki purani fitrat hai
Shukr ka ghoont jo pi jaao to tishnagi kaisi


-----x----x----x-----x-----x


Kisi ka dard  baanto , to dard kum hoga
Hans ke mil baitho , to door ghum hoga
Kisi dukhyaare se na door bhaago tum
Madad uski jo kardi , to bada karam hoga




---x----x-----x-----x------x