Wednesday, April 8, 2026

Poem

 Sadiyun se aate rahe ibn e adam 

Ladte jhagate rahe yeh to har dam 
Zindagi milti hai jeene ko chand din 
Samjh kar na samjhe kabhi ye Adam 

Raha kahan qaayam hai koi zamaana 
Firaun Hitler kahan hain bataana 
Hai  anjaam sab ka  yehan  ek jaisa 
Yehan jo bhi aaya, hai usko to jaana 

Kai  daur  aaye  kai daur guzre 
Rehne ko aaye magar log bikhray 
Na zaalim rahe na mazloom zinda 
Koi bas na paaya sabhi log ujday 

Zulm ki aandhi yeh kab tak chalegi 
Zehnon mein  kab tak nafrat  palegi 
Fanaa hone aati jab har sha’e yehan pe To kuch der reh kar   hawa badlegi.