Sadiyun se aate rahe ibn e adam
Ladte jhagate rahe yeh to har dam
Zindagi milti hai jeene ko chand din
Samjh kar na samjhe kabhi ye Adam
Raha kahan qaayam hai koi zamaana
Firaun Hitler kahan hain bataana
Hai anjaam sab ka yehan ek jaisa
Yehan jo bhi aaya, hai usko to jaana
Kai daur aaye kai daur guzre
Rehne ko aaye magar log bikhray
Na zaalim rahe na mazloom zinda
Koi bas na paaya sabhi log ujday
Zulm ki aandhi yeh kab tak chalegi
Zehnon mein kab tak nafrat palegi
Fanaa hone aati jab har sha’e yehan pe To kuch der reh kar hawa badlegi.
No comments:
Post a Comment