Saturday, April 23, 2016

POEM


Kahan se le ke hai aaye ho ye  haseen chehra

Yeh be baaki adaaon mein aur  fitrat bebehra

yeh khilkhilaati  hansi  aur khanak lafzon ki

yeh andaaz munfarid sa us pe lehja thahra

 

Chandan sa badan ,  rang zulfon ka sunehra

Umadhti khushbu badan se jaise baandha sehra

Kiya hai kitno ko pagal banaaye hain  majnu kai

Milenge khaak chaante, jungle, bayabaan, Sahra

 

Phool se jhadti teri baton ka asar  hota  gehra

Sun ke mehzooz na ho  jo, woh thahra  behra

Kab ye hota hai  ke  shakal aur aqal  yek  ja  ho

Rakhey ho kai khazaane ,  rehte ho be pehra

 

Hawa  ruk jaaye, dekh chalna tera lehra lehra

Tujhe wo khaas hai samjhe , nahin  aira ghaira

kashish tujh mein hai aisi ke sab dekhein tujh ko

Ho jaaye  Raat Diwali aur  har Din dasehra

ASHAAR


Khushiyun ke baadalon ne hamein sookha rakha
Bheege hum gham ki ghata se hain ye jab bhi barse
------x---

Budhaape mein  achche din ka maza  bhi lage  kharaab
Achcha lagta hai jawaani ka daur chaahe kharaab ho.
-----x----