Bakwaas si baatein kabhi falsafe zindagi ke
Afsos ke muqaam kabhi pal kabhi khusi ke
Hona to tab yehi hai milein dost jab puraane
Padey ghoonsa kisi ko aur padey tappoo kisi ke
Monday, October 17, 2011
AURAT
Aurat sab se badi hai taakat , ye khush ho to maze hain huyee ghussa to samjho aayee aafat
har ada mein hai nazaakat ,aur nahin marzi to hangaama karey aisa sabhi bhool ke sharaafat
Hai guftaar mein shafaqqat , jab kahey baat koi, lagey har lafz mein koot ke hai bhari sadaaqat
Koi rishta ho,ho agar teri sangat, aisa hi lagey koi doosra duniya mein nahin hai zariya-e-lataafat.
Kaam mein bala ki nafaasat, karey sabhi kaam ghar ke chahey bhlaey hi ho miyan se adaawat
Karey Aashiqon ki wo haalat , agar haasil na ho mohabbat to Aashiq phir kar bhi le baghaawat

KUCH ASH'AAR
Huway beemaar aise ke dum nikal hi gaya
Kaam aayee na kuch dawaa aur duaa unki
-----
Kabhi tanha na rahey saath tera khayaal raha
Aur is tarah se din tanhaayee ke guzar hi gaye
----
Kuch kar aisa ke zimmedaariyon se sabukdosh ho jaaoon
Rahey naa hosh qaaem taa zindagi madhosh ho jaaoon

MUMBAI KI BAARISH
Bambai ki yaad aati hai baarish ke naam se, Paani ka barasna aur garmi ka bhi padhna
Jaana hamaara bahar ko kisi kaam se, rukna kisi muqaam pe aur aage ko bhi badhna
Pairon ko paani se bacha bacha ke wo chalna,muskuraana kabhi, kabhi kisi ko dekh kar ladna
dhakka jo lage to kabhi phir in se sambhalna,kabhi de ke khud dhakka sambhaltey huway girna
kitna hi bacha lo magar bheego ge tum zaroor chaata na kaam aaye naa rain coat se dhanpna
jab laut ke aaoge tum bheegay huway ghar pe beemaariyon se khud ko na mehfooz samajhna
kaisi bhi ho barish aur iska jaisa bhi ho anjaam maza bheegne ka lena hai pachtaaenge varna
maza kyon na lein ke aati nahin barish yeh roz roz jaayegi ab to intezaar rahega aath maheena
Friday, October 7, 2011
KUCH AUR ...
Tabiat halkaan rehne de tu hassass na ban
Kisi ko kuch nahin hoga tuhje takleef hogi
---
Kya kahoon kuch kaam karne hain abhi baaqi
Nahin milta hai hamein waqt ,waqt guzaari ka
-----
Maqsad agar maqsood ho to mil jaati hai manzil
Har maamlay mein magar aisa nahin hota.
----
DOST KA RISHTA NA KHOON SE NA KHAANDAAN SE
PHIR BHI WO HOTA HAI AZIZ HAMEIN DIL O JAAN SE
---
kyon kar karein kaam ki kum keemat
Yehan har ek cheez ka daam ooncha hai

MUKHTALIF ASHAAR
Kabhi tanha na rahey saath tera khayaal raha
Aur is tarah se din tanhaayee ke guzar hi gaye
----
Thokrein khaa ke guzaari hai zindagi hum ne
Samajh na paaye kabhi raasta yeh kaisa hai
------
Dost na hote duniya mein to ghamon ke bojh badh jaatey
Hum kis se kehte apna haal dukh apne kaise bant jaatey
------
Kuch gham zindagi ke chupaaye nahin jaatey
kuch aise bhi hotey hain bataaye nahin jaatey
-------
Farsooda hain sabhi dunia ke sukh
kyon hoti hai khushi inke milne se
------
Narm thi bahut zindagi ab sakht ho chali
lagta hai jald hi yeh toot ke bikhar jaayegi
---
Manoos ho chuke hum, hum ko yahaan rehne do
jaisi jo zubaan bole usay wo zubaan kehne do
Ghar ghiraa hai to ghiraa rehney do humsaayon se
Sitam ke khoogar ho chuke sitam-e-jahaan sehne do
-----
joojatey hain shab-o-roz pareshaani se
khair khwah khwaab mein hi aaeinge
-----
guzar jaate hain jo din laut ke phir wo nahin aatey
wo aatey hain tasawur mein ya phir khwaabon mein wo aayein

Subscribe to:
Posts (Atom)