Monday, October 17, 2011

AURAT

Aurat sab se badi hai taakat , ye khush ho to maze hain huyee ghussa to samjho aayee aafat

har ada mein hai nazaakat ,aur nahin marzi to hangaama karey aisa sabhi bhool ke sharaafat


Hai guftaar mein shafaqqat , jab kahey baat koi, lagey har lafz mein koot ke hai bhari sadaaqat

Koi rishta ho,ho agar teri sangat, aisa hi lagey koi doosra duniya mein nahin hai zariya-e-lataafat.


Kaam mein bala ki nafaasat, karey sabhi kaam ghar ke chahey bhlaey hi ho miyan se adaawat

Karey Aashiqon ki wo haalat , agar haasil na ho mohabbat to Aashiq phir kar bhi le baghaawat

No comments:

Post a Comment