Monday, December 27, 2010

joke

Ek dost ne apne doosre dost se poocha

Yaar koi aisi baat bata ke kuch kaam waam naa karein aur khoob paisa
bhi mile baghair gym jaaye sahat bhi achchi bani rahe aur baghair
school jaaye dimaag bhi achcha rahe.
Doosre dost ne kaha : theek hai tou sun roz jaldi sone ka aur jaldi
subah ko uthne ka bas.

Pehle ne kaha is se kya hoga kya dault aur sahat aur mil jaaye gi aur
dimaag bhi
Doosre ne kaha apun ko itna maalum hai kya angrezi mein kahaawat hai
bole tou "Early to bed and early to rise make the person health
wealth and wise."

Tou bas shroo ho jaa jaldi sone ka aur jaldi uthne kaa..ab jaa saat
baj raila hai jaa ke so jaa , yeh sab mangta hai tou!!!!!!!!!!!
------------
Kaisa laga
Apun ka banaya hua hai yeh joke. :-)

DUA FOR ALL

Duniya mein teri bus har tarf aasaaniyaan ho sahulat ho
Pareshaaniyaan naa hon aaraam ho fursat ho mohlat ho
Koi fikr naa dukh naa gham naa uljhan ka pal milay tujhe
sukh hon muskuraahatein hon aur khushiyon ki daulat ho

DO KAAM

Subah uthnay ke baad bas do hi kaam ka hona hai
Sapno ka peecha hain karna, yaa phir se sona hai

Wednesday, December 22, 2010

MUSHKIL YA AASAAN

ZINDAGI KABHIE MUSHKIL TO KABHIE AASAAN LAGTI HAI
YEH HUM PE HAI MUNHASIR ISE HUM JIS TARAH SE LEIN

Monday, December 20, 2010

NA HOTA

Koi hota na bachcha boodha
Koi jawaan na hota

Koi kamzor na hota
Koi balwaan na hota

Sabhi ko mil jaatey kinaare
Koi toofaan na hota

Hote rehte ajoobe har din
Koi hairaan na hota

Bane rehte sabhi farishte
Koi shaitaan na hota

Gunah karta na kabhi koi
Koi pashemaan na hota

Khushiyon bhari hoti zindagi
Koi pareshaan na hota

Agar hota aisa mumkin to
Koi insaan na hota

Manzil dour nahin

Hausley hain buland aur khwaab bhi hain naye

Kholey baahein dunia khadi,intizaar tera karey

koshish tu kar , kar justuju hoga haasil tujhey

Koi manzil dour nahin jo kar sako na tum fateh

Thursday, December 16, 2010

WAQT NAHIN HAI

WO KHAYAAL JINHEIN HUM SOCHNA CHAAHEIN
WO MANZILEIN JINHEIN HUM PAANAA CHAA HEIN
WO QISSAY KAHANIYAAN JO HUM PADNA CHAAHEIN
AUR WO DOST JINHEIN HUM ROZ MILNA CHAHEIN

DIN BAHUT CHOTA HAI IN KAAMON SE NIMATNEY KE LIYEE
NIKAAL TU WAQT ACHCHA IN MEIN KUCH KARNEY KE LIYE

Wednesday, December 15, 2010

SAFAR

TUM ZINDAGI KI KASHTI MEIN SAWAAR HO AGAR
TO TOOFAANON KA OONCHI MAUJON KA KYA DAR
ISI SEY CHAMKEY AUR NIKHREY GA TUMHAARA HUNAR
GUZAR JAANEY DO IN KO,RAKHO JAARI TUM APNA SAFAR

WISH

Har din khushi se guzre har lamha har pal ho haseen
Mil jaaye wo sab khushyan jo chupi baithi hain kaheen

Sunday, December 5, 2010

WAADA

Khuda ne kiya nahin yeh waada
Ke aasmaan rahey neela sadaa
Suraj ki garmi ho barish se judaa
Miley khushi na ho ghamon ka nishaan
Bina dard ke ho hamein aman adaa
Khuda ne kiya nahin yeh waada


Khuda ne kiya hai yeh wadaa
Ke taaqat mein din ki karoonga ataa
Aaraam mazdooron ka na hoga lapataa
Roshni ho gi raahon ka hoga pataa
Maaf hongi pichday huon ki khataa
Madad mileygi hai ooperwale ne kahaa
Hamdardi sabhi ko miley ho sabhi ka bhalaa
Pyaar bhi aisa miley kabhi ho na fanaa

LONG LIVE

ZINDAGI KO KYON TU SANJIDAGI SE LE
KHUSHIYON SE ISE BHAR LE PAL JO TUJHE MILE
KHUSHIYAN BADHA DETI HAIN ZINDAGI KE SAAL
KHUSHIYON SE SAALON KO BHI NAYEE ZINDAGI MILE

BE HAPPY

JO LAMHA GUZAR RAHA HAI
HAR PAL YEH KEH RAHA HAI
TU HANS KE JEE LAY MUJHKO
KYON MAR KE JEE RAHA HAI

DUA FOR MY KIDS

MERE BACHCHON KI ZINDAGI MAULA TOU AASAAN KAR DE
MOYESSAR UNHEIN ZINDAGI KAA SAARA SAAMAAN KAR DE

DUBAI KI MEHANGAAI - DESCRIBED IN MUMBAI STYLE

Ek Naukar maalik ko botla ha……..

Aap ko to malum hai saab ke aaj kal…. Mehangayee ka soch ke Maayee(mother) yaad aati hai
Etisalat (yehan ki telephone company) ka bill dekh kar….bill ko . Ita ….sala ….laat…. marne ko dil bolta hai ke maaro dus aur gino ek..lekin kya kare ga mishtake apun ka hai apun ko bolne ka ziyaada aadat hai woh phone pe bhaari padta hai. bill dekh ke…

DEWA (Dubai electiricity and water authority) ka bhi yech haal hai….. Deva (God) yaad aata hai ….paani Deva phookkut mein diya per yeh sala zameen wala sab khalaas kiya aur ab khud bana kar paise mein bechta hai!!!

Ghar ka rent… sun kar kamar bent …ho jaati hai sahib….itne paise mein to pehle log mehal mein rehkar zindagi bhi guzaar dete thay to bhi bachta tha ab to rent ke waaste zindagi bhar karza lo aur phir bhi ghar tumhaara nahin….. humaara idhar guzaara nahin….

School ki fees ka itna badhna aisa lagta hai ke sahib everest ki choti pe jaise isko hai chadna …….aajkal KG ki fees mein logon ne puraane zamaane mein Doctory padh li hai balke UK, USA se PHD kar li hai….

Daal aatey ka bhav… sunkar dil bolta hai kuch nahin pakav…

Hotel mein bhi jaayega to kya khayega….roti ek ab 3 rupiya …..pehle 3 roti ek rupiya…………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………………..
Abhi ek kaam ho sakta hai tum apna company band karega apun apna naukary khatam karega…aur phir dono paagal ka maafiq ghume ga …

khaali jeene ke waste phukat ka itna jhanjhat kyon mangta hai?????????????

NOT SATISFIED WITH WHAT YOU HAVE

AISE AKSAR ZINDAGI MEIN LOG KAYEE HOTAY HAIN
JO HOTA HAI , US SE WOH KHUSH NAHIN HOTAY HAIN
SCHOOL WAALE KO COLLEGE KA KHWAAB HOTA HAI
COLLEGE WAALA NAUKRI PAANE BETAAB HOTA HAI
NAUKRI WAALA PHIR SHAADI KI SOCHA KARTA HAI
AUR SHAADI WAALA BACHCHON KI JALDI KARTA HAI
BACHCHE HUYE TO FIKR YEH JALDI BADAY HO JAAYEN
TAAKE PHIR KAAM PAR HUM APNE SHUROO HO JAAYEN
KAAM PE JAANE PAR PHIR RETIRE KAY HOTAY SAPNAY
AUR PHIR MAUT KO QAREEB WOH PAATAY APNAY
TAB YEH JAA KE KAHIN HOTA HAI UNKO AHSAAS
KOI BHI APNA JAB HOTA NAHIN HAI UN KE PAAS
MAIN YEH KYA RAHA KARTA , YEH MAIN NE KYA KIA
GANWAYA WAQT, KHUSHIYAN, MAIN ZINDAGI NA JIYA
TUM APNAY SAATH YEH HO NAA KABHI AISA KARNA
ZINDAGI ‘AAJ’ HAI , TUM AAJ MAZAY SE JEENA

Saturday, December 4, 2010

BECHARI ZINDAGI

Bechaari Zindagi ……..


Jab kisi bachpan ki pehli subah hoti hai……………………………..means when somebody is born
Rooh oos waqt bachche ki bahut roti hai
Khush hotay hain yehan sab jahan waale
Kudrat kaam yeh anjaam kar ke soti hai

Guzarta hai yeh bachpan beniyaaz horkar
Ziddi sa kabhi aur kabhi bhola ban kar
Chalata hai yeh sab pe sirf apni marzi
Jo paana ho bas rehta hai woh paakar

Guzar ke bachpan se aati hai phir jawaani
Har jawaani ki hoti hai alag ek apni kahani
Karta hai ghalti jawaani jo paakar
Rota rehta hai woh saari ziindagaani

Aakhir mein jaakar jab aata budhaapaa
Achcha nahin lagta hamein apna saraapaa
Har cheez ke ho jaate hain ho kar hum mohtaaj
Kaam naa aaye karein ghussaa ya jalaapaa.

Zindah reh kar Zindagi har pal ko marti hai
Be khwaabi mein rehti hai aur har waqt darti hai
Hoga khuda jaane ke ab anjaam kya mera
Guzre huay dino ko woh paane tarasti hai

Aati hai sadaa aayaa jahan se wahan laut ja
Phir jakad leta hai tab oose maut ka panja
Koi rok na sake oose phir laut ke jaane se
Hoti azaad hai rooh choot jaata hai shikanja.