Koi hota na bachcha boodha
Koi jawaan na hota
Koi kamzor na hota
Koi balwaan na hota
Sabhi ko mil jaatey kinaare
Koi toofaan na hota
Hote rehte ajoobe har din
Koi hairaan na hota
Bane rehte sabhi farishte
Koi shaitaan na hota
Gunah karta na kabhi koi
Koi pashemaan na hota
Khushiyon bhari hoti zindagi
Koi pareshaan na hota
Agar hota aisa mumkin to
Koi insaan na hota
No comments:
Post a Comment