Saturday, December 4, 2010

BECHARI ZINDAGI

Bechaari Zindagi ……..


Jab kisi bachpan ki pehli subah hoti hai……………………………..means when somebody is born
Rooh oos waqt bachche ki bahut roti hai
Khush hotay hain yehan sab jahan waale
Kudrat kaam yeh anjaam kar ke soti hai

Guzarta hai yeh bachpan beniyaaz horkar
Ziddi sa kabhi aur kabhi bhola ban kar
Chalata hai yeh sab pe sirf apni marzi
Jo paana ho bas rehta hai woh paakar

Guzar ke bachpan se aati hai phir jawaani
Har jawaani ki hoti hai alag ek apni kahani
Karta hai ghalti jawaani jo paakar
Rota rehta hai woh saari ziindagaani

Aakhir mein jaakar jab aata budhaapaa
Achcha nahin lagta hamein apna saraapaa
Har cheez ke ho jaate hain ho kar hum mohtaaj
Kaam naa aaye karein ghussaa ya jalaapaa.

Zindah reh kar Zindagi har pal ko marti hai
Be khwaabi mein rehti hai aur har waqt darti hai
Hoga khuda jaane ke ab anjaam kya mera
Guzre huay dino ko woh paane tarasti hai

Aati hai sadaa aayaa jahan se wahan laut ja
Phir jakad leta hai tab oose maut ka panja
Koi rok na sake oose phir laut ke jaane se
Hoti azaad hai rooh choot jaata hai shikanja.

No comments:

Post a Comment