Monday, November 3, 2014

VIDHARBA KE KISAAN - JAHAN ROZ EK KISAAN SUICIDE KARTA HAI - HUKUMAT PHIR BHI NAHIN JAAGTI


Daana Daana mohtaaji, daur qahat  say haalaat ka hai

Boond Boond paani  barsa,  mausam to  barsaat ka hai

 

Rehte hain haalaat yehi har saal jab saawan aata hai

Faaqon ka is gaaon se jaise sadiyun purana naata hai

 

Farq nahin  kuch bhi yehan,logon ke marne jeene se

Khaane ko  bhar pet  nahin, rok  hai  paani  peene se

 

Qarz  itna  logon ke sar  pe kamar  jhuki  hai  bojh  tale

Zimmedaari  saath  lagi  hai   har  waqt  in  ki soch  tale

 

Jo karna hai khud ko karna naam ke hain hamdard kai

Ghar ka kharch bachon ki padhaayee aur bhi hain dard kai

 

Jeene  ka  hai  maqsad  par   jeene  ka  samaan nahin

Ab  mar  jaana  behtar  hai , til til marein aasaan nahin

 

Yehi  haalaat  rahe to socho kya  kare ga  phir  insaan

Waise  hai  is  desh  ka  naaraa  jai  Jawaan  jai  Kisaan

 

EK DOST KE HAJJ KI DASTAN


Tha Hajj ka iraada safar kiya Makkah ki or

Pohncha Jeddah thi taareekh 28.10.1974               (seventy four padho )

 

Umr thi 22 ,  kiraaya rupiya saat sau pachas

Chand din kaam ke mile Riyal char so pachas

 

Qeemat un dino Riyal ki thi dhaayee rupiya

Yaani kaam ki kamaayee huwi  1,125 rupiya

 

Thay  5  din  Hajj  ke  aur kharch hua  300 riyal

Thi qurbaani jis mein aur kate thay mere baal

 

Aaj in baton pe yaqeen hamein nahin hota

Hajj aaj kal ab hazaaron mein bhi nahin hota

 

Allah qabool karey Hajj ko ho gunah maaf

Tha aqeeda Hajj ka aur niyat thi meri saaf

ASHAAR


Mujhe tum wajeh apne ghum ki bataao
Ke mein raaste apne bachne ke dhoondoon

--
Gale lag ke tum mujh se ro lo ghadi bhar
Ke  aankhon ki naali ka kachra to nikle

---

Hoga behtar jo hona hai aqeeda yun rakh
Chod bina baat  ke tu ab pareshaan hona

--

Kaise bhula tu yeh  aaj,   ke di na tu ne gaali
Teri  yeh bhool  bhi  lekin  hamein bhali si lagi
---
 
Shaur mujh ko mera khuda tu itna dey  dey
Ke ho gunah  koi to us ka  ilm  nuzool bhi ho
ta ke gunah ki mein dilse jab maafi maangu
to meri dua tere dar pe phir maqabool bhi ho
--

Kaash ke aata mujh ko  kuch paighaam aisa  
Hoti fursat mujh ko na hota  kuch kaam aisa  
Karta khushyun mein shirkat ki tayaari mein
Hota kuch aisa wo karte kuch intezaam aisa
--

Yaad maazi  ki dila  deta  hai  pyaara  mausam
Bhulaayein kaise jo kaata tha waqt saath tere
---

Mausam se jud jaati hain jab yaadein kahin ki
Hum ko  besaakhta  tab  ‘TOL’  yaad  aata  hai

ASHAAR


Badnaseebi ka ho gar har taraf daur-o- dauraa
Jo agar ho saath tum taqdeer badal jayegi
Manzar burey khwaabon ke kyon na kitney hon
thamo mera haath tum takbeer badal jayegi
--

Kahan  sab  se apna  mile  mizaj

Jo mile thay kal wo milein na aaj

Jo hain saath aaj honge door kal

Nahin rehta dil pe hamesha raaj

---


Qanoon ki aankho pe patti lagaayee,    ke dikhe na usay koi apne paraaye

Lekin   aaj  aisi  hai   phaili   buraayee ,   Mujrim yehan hain raaj karne ko aaye

Phir insaaf kaisa   do  kaisi duhaayee ,     jab qanoon khud sachchayee dabaaye

Kya hum karein pesh kar ke safaayee,      jehan hum ko na jaane khud  apne saaye

Jeet us ki    jis ne hai taaqat dikhayee,      to behtar hai adliya Jahaan se phir jaaye

 
---

 

ASHAAR


Piye  bin hi  mera  ab hosh  kho gaya hai
Qalam tha kya karna aur kya ho gaya hai.
--- 

Dekh aaj phir yeh behka qalam hai
Dawaat mein kya  ghalti se daaru padi hai

--- 
 
Jo ho haasil hamein dekna mausamon ka
To hum sirf Bambai ki baarish ko dekhein
---Dekhi aankhon ne meri aaj, maazi ki jhalak
Mudatton baad wo aaye jab milne hum se
-----

Taan li sab ne hai khudgharzi ki chaadar
So gayee ye qaum jo thi zinda javedan

---

Kya kijiyega ab sun ke,  kya kehti hai zindagi
Latka ke qabr mein pair jab baithi hai zindagi
 
---

Tumhara naam lene se zaban meethi huwee itni
Karela khaao bhi to ab hamein kadwa nahin lagta.

--

Kabhi tanhaayee mein aisa lage , koi apna aa chu le
Judi hain aisi yaadein maazi se, ke dil jis ko na bhule
--


Besharmi kaa aalam aaj logon ke rehan sehan mein hai
Kaise zuban tak baat pahunche jo mere zehan mein hai.