Daana Daana mohtaaji, daur
qahat say haalaat ka hai
Boond Boond paani barsa,
mausam to barsaat ka hai
Rehte hain haalaat yehi har saal jab
saawan aata hai
Faaqon ka is gaaon se jaise sadiyun
purana naata hai
Farq nahin kuch bhi
yehan,logon ke marne jeene se
Khaane
ko bhar pet nahin, rok hai paani peene se
Qarz
itna logon ke sar pe kamar jhuki hai bojh
tale
Zimmedaari saath lagi
hai har waqt in ki soch tale
Jo karna hai khud ko karna naam ke
hain hamdard kai
Ghar ka kharch bachon ki padhaayee
aur bhi hain dard kai
Jeene ka hai
maqsad par jeene ka samaan nahin
Ab mar jaana
behtar hai , til til marein aasaan nahin
Yehi haalaat rahe to
socho kya kare ga phir insaan
Waise hai is desh
ka naaraa jai Jawaan jai Kisaan
No comments:
Post a Comment