Tha Hajj ka iraada safar kiya Makkah ki or
Pohncha Jeddah thi taareekh
28.10.1974
(seventy four padho )
Umr thi 22 , kiraaya rupiya saat sau pachas
Chand din kaam ke mile Riyal char so pachas
Qeemat un dino Riyal ki thi dhaayee rupiya
Yaani kaam ki kamaayee huwi 1,125 rupiya
Thay 5 din Hajj ke aur kharch hua
300 riyal
Thi qurbaani jis mein aur kate thay mere baal
Aaj in baton pe yaqeen hamein nahin hota
Hajj aaj kal ab hazaaron mein bhi nahin hota
Allah qabool karey Hajj ko ho gunah maaf
Tha aqeeda Hajj ka aur niyat thi meri saaf
No comments:
Post a Comment