Mujhe tum wajeh apne ghum ki bataao
Ke mein raaste apne bachne ke dhoondoon
--
Gale lag ke tum mujh se ro lo ghadi bhar
Ke aankhon ki naali ka kachra to nikle
---
Hoga
behtar jo hona hai aqeeda yun rakh
Chod bina baat ke tu ab
pareshaan hona
--
Kaise
bhula tu yeh aaj, ke di na tu ne gaali
Teri yeh bhool bhi lekin
hamein bhali si lagi---
Shaur mujh ko mera khuda tu itna dey dey
Ke ho gunah koi to us ka ilm nuzool bhi ho
ta ke gunah ki mein dilse jab maafi maangu
to meri dua tere dar pe phir maqabool bhi ho
--
Kaash ke aata mujh ko kuch paighaam aisa
Hoti fursat mujh ko na hota kuch kaam aisa
Karta khushyun mein shirkat ki tayaari mein
Hota kuch aisa wo karte kuch intezaam aisa
--
Yaad maazi ki dila deta hai pyaara
mausam
Bhulaayein kaise jo kaata tha waqt saath tere
---
Mausam se jud jaati hain jab yaadein kahin ki
Hum ko besaakhta tab ‘TOL’ yaad aata
hai
No comments:
Post a Comment