Naye daur ka baab khula hai
Har paapi dhoodh ka dhula hai
Nekiyaan sab hoti hain zaaye
Sharifon ka moonh sila hai
Ye kaisa chalan chalaa hai
Har dhongi ka hota bhala hai
Rehte hain chain se dunia mein
Sachay ko dard hi mila hai
Aadmi Aadmi ko lagta bala hai
Nafraton ka zahar ghula hai
Insaaniyat bhooli hai apna sabaq
Logo ka aapas mein dil yun jala hai
Bechaini hai aur ek khalaa hai
Mizaaj har waqt mila jula hai
Zindagi ab kyun bojh si lagti hai