Saturday, June 22, 2013

KUCH AUR ASHAAR

Kisi ko gar kiya ruswa zamaane ne to kya kijay
Samajh uski nazar uski tha dast uska qalam uski



JAB WAQT AAYA KE YAADON KE SAHAREY JI LEIN
TAB HUM SE HAMAARI YAAD DAASHT CHIN GAYEE



De qalam inaam mein ke mein qalam kar loon
Un ka shikwa apni safaayee ye zamaana aur haal-e- dil.

 
 
Ummeedon ke sahaarey kut jaatey hain din
Kaisi kaisi aas lagaaye baithi hai zindagi




JAHAN REHNA HAI CHUP HUM KO WAHAN KEHTEY HI JAATEY HAIN
JAHAN KEHNA HAIN KUCH, HUM WAHAN CHUP HAIN KYON REHTE




Kahoon ga kuch to dost bura maanien gey
Karoon zikr-e-maazi ka mein bayaan kaise





Kehney sunnany ka rishta hai faqat yaaron ka.
Ajnabi logon mein kahan aisi rishtey daari hai





Har mausam le aata hai kuch saughaatein zindagi ke liye
Yeh naymatein nawaazish hamein saari khuda ne kein.



Jhoot kuch bhi nahin faqt sachchayee hai zindagi
Agar is ko samjho to kahan muamma hai zindagi



Yeh Qudrat ka khel anokha
Kaheen baarish kaheen sookha
Koi daawatein hai udaaye
Aur koi sota hai bhooka




Yeh sab hai Allah ki marzi sab hai Allah ke kaam
Har qatra har zaraah har nafs ka hai ek nizaam.


Log muntazir hain mere saath chalne ke liye
Main to khud hi bhatak gaya hoon apni raahon se.


Yehi hai reet yehan ki, zamane se chali aayee hai
Hua gunaah kisi se , aur kisi ne sazaa payee hai
































Friday, June 21, 2013

Na ho


pata nahin yeh amended version pehle  publish kiya ya nahin....


Na ho dukh dard koi aur ghamon ki ghata na ho
Yeh dil burey na hon yeh naaraazgi hata no ho
Laut jayae ye duniya phir daur – e – azal mein
Na ho koi dost madad ko aur dushman data na ho


Na ho koi bhool mujh se apno ki koi khata na ho
Na apney dil ki suney koi aur dil bardashta na ho
Rahoon ban ke mast maula jab tak yehan jiyoon
Rishtay na hon na ho dosti aur koi waasta na ho


Nafratein na hon , koi muhabbat mein luta na ho
Oonch aur neech dikhaaney zamaana juta na ho
Be bas na ho koi yehaan aur na koi bhi ho zaalim
Ek doosrey ko marney maarney koi utha na ho


Makaan na ho, na ho manzil koi, raasta na ho
Bhatak jaaoon kaheen, aur koi mera pata na ho
Rahey diwaangi taari phiroon pagal sa awaara
Hai koi jagah jahaan pe yeh “aadmi “, bata na ho.

KUCH AUR SHAERI

Kis ki hai talaash mujhey main ye kis ko dhoondata hoon
Kal tak ke koi aur tha ab mein khud ko dhoondata hoon

--------
Be wajah be chaini si badhney lagi
paani ke barsaney ka jab ilm huwa.

--------
Daur is qadar tezi se raha hai daud
Subah aankh kholi , palak jhapkte din guzra

Saturday, June 8, 2013

PURAANI NAZM MEIN ALTERATION AUR ADDITION

Na ho dukh dard koi aur ghamon ki ghata na ho
Yeh dil burey na hon yeh naaraazgi hata no ho
Laut jayae ye duniya phir daur – e – azal mein
Na ho dost madad ko aur koi dushman data na ho
Na ho koi bhool mujh se apno ki koi khata na ho
Na apney dil ki suney koi aur dil bardashta na ho
Rahoon ban ke mast maula jab tak yehan jiyoon
Rishtay na hon na ho dosti aur koi waasta na ho
Nafratein na hon , koi muhabbat mein luta na ho
Oonch aur neech dikhaaney zamaana juta na ho
Be bas na ho koi yehaan aur na koi bhi ho zaalim
Ek doosrey ko marney maarney koi utha na ho
Makaan na ho, na ho manzil koi, raasta na ho
Bhatak jaaoon kaheen, aur koi mera pata na ho
Rahey diwaangi taari phiroon pagal sa awaara
Hai koi jagah jahaan pe yeh “aadmi “bata na ho

Sunday, June 2, 2013

TUM

Tumharey aaney se din sara mahak jaata hai
Baade saba asar rakhti hai sirf sahar ke liye

Soorat tumhaari munawwar kare shab-o-roz mere
Chaand ki chandni hoti hai raat bhar ke liye

Phool khiltay hain bhale lagte hain murjhaaney tak
Husn tera na dhalega is nazar ke liye.

Log miltay hain bichad jaatey hain har roz kai
tujh se bichdoon na khudaara taa umar ke liye

Har ek qadam pe thokar lagey zamaane main
Tera ek saath hi kaafi hai is safar ke liye





GHALIB SE MAAZRAT KE SAATH

Mirza Ghalib ki  barsi thi...un ke kuch shaer koi mein ne apni tarah se tod mod ke likha hai.MAAZRAT KE SATH…

yeh kahan ki dosti hai bane hain dost qasaaee
majboori samajhta koi bhookey ko chaara deta

----

parwah karein kaise par hamaarey cut gaye
dil jo khulaa darbaar tha pehray ab lag gaye

-----

dost sabhi gandey hain juma ko nahaatey hain
zakhm to sadey gey hi naakhun badh jaaye to kya

-----

bulbula hoon daana-e-anaaj nahin jo ho dafan
fanaa hota hoon mein sateh tak aatey aatey

---------

sabhi ka dost hoon sab pe hi sitam karta hoon
seh le jo kahlaaye dost na sahe to darta hoon

-------

kyon dhoondatey ho dost dushman ke baab mein
haasil hua hai kis ko jo dekha tha khwaab mein

ANOKHI DUNIYA


Na ho dukh dard koi aur ghamon ki ghata na ho
Yeh dil burey na hon yeh naaraazgi hata no ho
Laut jayae ye duniya phir daur – e – azal mein
Na ho koi dost madad ko aur dushman data na ho

Na ho koi bhool mujh se apno ki koi khata na ho
Na apney dil ki suney koi aur dil bardashta na ho
Rahoon ban ke mast maula jab tak yehan jiyoon
Rishtay na hon na ho dosti aur koi waasta na ho

Nafratein na hon , koi muhabbat mein luta na ho
Oonch aur neech dikhaaney  zamaana juta na ho
Be bas na ho koi yehaan aur na koi bhi ho zaalim
Ek doosrey ko marney maarney koi utha  na ho


Makaan na ho, na ho manzil koi, raasta na ho
Bhatak jaaoon kaheen, aur koi mera pata na ho
Rahey diwaangi taari phiroon pagal sa awaara
Hai koi jagah jahaan pe yeh “aadmi “, bata na ho.

kuch arz hai

Kahan se laaoon wo lamhe jo guzar hain gaye
Meri pehchaan thay jo ke ab gumnaam hoon mein
---------------------------------------------------
Agar tum haq pe ho to ghussay ki kya zaroorat hai
Aur agar ho ghalat to naahaq hai phir ghussa tera
----------------------------------------------------
Sabr kumbe ke sang, pyaar ki bashaarat hai
Sabr doosro ke sang ho to wo baa’íse izzat hai
Karein khud ke liye sabr agar hum har waqt
To phir wo khud pe aitamaadi ki alaamat hai
---------------------------------------------------
Guzra hua socho ge , ghum se bhar de ga
Socho jo aaney wale kal ko to wo darr de ga
To phir aaj ko apna hi apna jaan kar tum jiyo
Jaisa bhi ghuzre ,khushiyan wo magar de ga
----------------------------------------------------

Sach aur haq ka mol nahin koi kehat hai ye fakeer
Sachey ka sar ooncha ,jhoota sada rahey haqeer
Kahan rehegi barkat is mein kaam na tere aani
Jhoot aur beimaani kar tum ho baney gar ameer
------------------------------------------------------

Zindagi ke imtihaan ka nateeja meetha kabhi kadwa kabhi
Mushkilon mein aadmi hai banaa kabhi aur hai bigda kabhi
Yeh sab haalaat pe hai jis tarah hum karein in ka saamna
karein jashn-e- kaamyaabi ya phir ro’ein iska dukhda kabhi
---------------------------------------------------------

HO TUM JO DUKHI TO HUM KO BHI DUKH HOTA HAI
MUSKURAATE REHNE KA APNA HI MAZAA HOTA HAI
APNEY HON YA PARAAYE DUKH SABHI DETEY HAIN
KHUSH RAHO KHAAK DALO HONAY DO JO HOTA HAI

-------------------------------------------------------------


AB MILTA HAI KAUN

KITNA BADLA HAI ZAMAANA KITNE BADLAY HAIN LOG
BHAAGTI DAUDTI DUNIYA HAI AB MILTAA HAI KAUN

SABHI KI APNI HAI MUSHKIL SABHI KE APNEY HAIN KAAM
PARESHAAN HAALAT MEIN KHUSHI SE AB MILTAA HAI KAUN

MAJBOOR TUM BHI HO TO BE- BAS HUM BHI HAIN
WAQT MILEY BHI JO THODA TO BHI AB MILTA HAI KAUN

NA APNEY MILEIN APNO SE NA KOI PARAAYA HI MILE
KAHEIN SABHI APNEY AUR PARAAYE KE AB MILTA HAI KAUN

YE MAAMOOL RAHA APNA GAR AISE SHAB- O- ROZ RAHEY
AAPAS MEIN SHIKWAH NA RAHEY GA KE AB MILTA HAI KAUN







KUCH AUR ASHAAR

Aise mauqay aatey hain yehan pe kabhi kabhi
Tha loo sa alam garmi ka , paani barse hai abhi
Mausam ka kahin thikaana nahin kab yeh karwat le
Pareshan thay garmi mein kal ab barish de kapkapi


-----------------------------------------------------


Ajeeb shai hai yeh pehloo mein jis ka naam hai dil.
Machle kabhi matley kabhi badle kabhi phisle kabhi


---------------------------------------------


Ruka agar to reh jaaoonga mein peeche
Bhaagti duadti rehti hai yeh duniyaa apni.


-----------------------------------------------


Mujh se banta hai zindagi ka wajood
Main paani hoon be rang be mazaa



@@@@@Means life is from water which is clourless and taste less.



-------------------------------------------------------

Main na mehkoon na maza hai na rang hai mujh mein
Mein paani hoon yeh ansar duniya ke mere dam se hain



@@@@@Means water do not have odour taste or clour but all these things are there in this world because of water.


-------------------------------------------------

Apni marzi na thop tu doosron par kabhi
Karney de wo oose oos ko jo achcha lage

--------------------------------------------------
Ho agar aisa to zindagaani mil jaaye mujhe
Kho jaaye hosh mera deewaangi mil jaaye mujhe
Na rahe farq baaqi khushi aur gham mein koi
Tabiat ki kuch aisi begaangi mil jaaye mujhe

-----------------------------------------------------
Teir meharbaaniyon ka zikr hi kya
Jo mila mujhey mein us qaabil na tha
kin kin naematon ka batlaayein hum
beshumaar hain tu ginta hai kya.

------------------------------------------------


JIS SE JO KUCH MILE SHUKR KAR KHUSH NASEEB HAI TU
WARNA IS HANGAAMAYE HAALAAT MEIN DETA HAI KAUN













BAMBAI

Yeh wo jagah hai ke jis ne di panah sab ko
Jo bhi aaya yehan is ne liya basa sab ko

Peer-o-faqeer yehan rehtey hain ameer yehan
Koi bhooka nahin sota sab ki
hai taqdeer yehan

Koi bhi farq nahin dharmo ka logon mein yehan
Gale miltey hain sabhi log, aapas mein yehan

Har ek taihwaar manaatey hain sabhi mil jul kar
Koi takleef ho madad kartey hain sabhi khul kar

Rehtey har ek rang ke log bolein sab apni zubaan

Lekin  boli  jaati  hai  anokhi  si  ek  boli yehan  


Sports club, naatak ghar film industry aur kya nahin

Bachche, Jawaan budhey sab ka ho manoranjan yehin 

Yeh kar raha hoon zikr jis ka mein is bayaan mein
Hai woh bharat mein magar lage
,  hai aasmaan mein

Ghira huwa hai samandar se yeh teen taraf
Jaise Moti dikhaati huwi koi lagti ho sadaf *

Koi bhi mausam ho har ek ka alag hai maza
Lekin barsat mein lagti hai jannat si fiza

Waise to yeh jagah hai saarey jahaan se pyaari
Magar mujh ko yeh lagti hai meri jaan se pyaari

Har ek daur mein is ke naam badley hain kai
Jaani jaati hai jis naam se woh hai bambai

 




Sadaf = seepi ya English mein shell.

TOL GAON


It is about a village called TOL GAON in Dist. Ratnagiri, I have visited several times.

Aisa manzar jisey dekhney aankhein tarse
Badri jhoom ke jis jagah khushi se barse
Jahan deknay ko miley saari kainaat ke rang
Aisi jagah to jaaoon mein chal kar sar se

Phalon mein AAM baadshah kehlaata hai
Saari duniya mein wo yehin se jaata hai
Haapus diya hai naam yehan ke logon ne
Chakha jis ne phir wo AAM yehi khaata hai

Waise kaaju aur kele bhi yehan ugtey hain
Har ek rang ke phal phool bhi khiltey hain
Karta hai qad ooncha is ka , ped baans ke
Jis pe chattey shahad ke bhi baney miltey hain

Ek nadi bahti kinaare se hai meethi khaari
Aur lag kar gaaon se hai ek oonchi pahaadi
Behtey hain jharney jahan baarish ke dino mein
Aur nadi mein phir hoti hai kashti ki sawaari

Chal ab naam mein bata doon is gaaon ka tujh ko
Lage hai khoobsoorat chaand ka tukda kuch ko
Koi bhi naam de do naam mein kya rakha hai
Kehtey to hain tol isey jannat sa lage hai mujh ko























KUCH AUR ASHAAR

Yehi hai reet yehan ki , zamane se hai chali aayee
Hua gunaah kisi se , aur kisi ne hai sazaa payee
----------------------------------------------------

Be -basi  itni badhi ke kuch nahin soojhta
Aaney wala har pal palkein bhiga jaata hai
----------------------------------------------------

Mein ye maangu sadqey Mustafa
Ke qabool ho meri yeh duaa
jab chaand mein dekhoon eid ka
mujhey milne usi din tu aa
----------------------------------------------------

Ajab si duniya mein ajab se kaam hote hain
Sunaayee khuskhabri phir bhi log rote hain
----------------------------------------------------
Kahan tak karoge hisaab tum ab is ke haasil ka
Kya kya kaam kar baitha hai yeh khaak ka putla

---------------------------------------------------

Kahan se laoon mein fursat gaye zamaane ki
Pal milta nahin mil baithne ka ab yaaron mein.

---------------------------------------------------
Har achche kaam ka hai yeh haasil
Bo- o - gey ek beej kai phal niklein.

---------------------------------------------------------

Kehnay ko tha kuch nahin phir bhi bahut kuch keh gaya
Un ki aankehin un ki baatein un ka mukhda, un ki haya

---------------------------------------------------------

Aise mauqay aatey hain yehan pe kabhi kabhi
Tha loo sa alam garmi ka , paani barse hai abhi
Mausam ka kahin thikaana nahin kab yeh karwat le
Pareshan thay garmi mein kal ab barish de kapkapi

-----------------------------------------------------------


Ajeeb shai hai yeh pehloo mein jis ka naam hai dil.
Machle kabhi matley kabhi badle kabhi phisle kabhi

------------------------------------------------------------

Ruka agar to reh jaaoonga mein peeche
Bhaagti duadti rehti hai yeh duniyaa apni.

------------------------------------------------------------

Mujh se banta hai zindagi ka wajood
Main paani hoon be rang be mazaa

-------------------------------------------------------------

Main na mehkoon na maza hai na rang hai mujh mein
Magar yeh tamaam ansar duniya ke mere dam se hain

-------------------------------------------------------------

Apni marzi na thop tu doosron par kabhi
Karney de wo usay us ko jo achcha lage

-------------------------------------------------------------

Ho agar aisa to zindagaani mil jaaye mujhe
Kho jaaye hosh mera deewaangi mil jaaye mujhe
Na rahe farq baaqi khushi aur gham mein koi
Tabiat ki kuch aisi begaangi mil jaaye mujhe

-------------------------------------------------------------

Teir meharbaaniyon ka zikr hi kya
Jo mila mujhey mein us qaabil na tha
kin kin naematon ka batlaayein hum
beshumaar hain tu ginta hai kya.

--------------------------------------------------------------


Kabhi suraj bhi baadlon mein apni roshni khota hai
Kabhi kitney hi badal chayein roshan suraj magar hota hai
Phir kyon udaas  ho gar badal ghamon se hain chayein
Hogi khushiyon ki bhi baarish sabr kar kyon tu rota hai