Sunday, June 2, 2013

GHALIB SE MAAZRAT KE SAATH

Mirza Ghalib ki  barsi thi...un ke kuch shaer koi mein ne apni tarah se tod mod ke likha hai.MAAZRAT KE SATH…

yeh kahan ki dosti hai bane hain dost qasaaee
majboori samajhta koi bhookey ko chaara deta

----

parwah karein kaise par hamaarey cut gaye
dil jo khulaa darbaar tha pehray ab lag gaye

-----

dost sabhi gandey hain juma ko nahaatey hain
zakhm to sadey gey hi naakhun badh jaaye to kya

-----

bulbula hoon daana-e-anaaj nahin jo ho dafan
fanaa hota hoon mein sateh tak aatey aatey

---------

sabhi ka dost hoon sab pe hi sitam karta hoon
seh le jo kahlaaye dost na sahe to darta hoon

-------

kyon dhoondatey ho dost dushman ke baab mein
haasil hua hai kis ko jo dekha tha khwaab mein

No comments:

Post a Comment