Sunday, June 2, 2013

kuch arz hai

Kahan se laaoon wo lamhe jo guzar hain gaye
Meri pehchaan thay jo ke ab gumnaam hoon mein
---------------------------------------------------
Agar tum haq pe ho to ghussay ki kya zaroorat hai
Aur agar ho ghalat to naahaq hai phir ghussa tera
----------------------------------------------------
Sabr kumbe ke sang, pyaar ki bashaarat hai
Sabr doosro ke sang ho to wo baa’íse izzat hai
Karein khud ke liye sabr agar hum har waqt
To phir wo khud pe aitamaadi ki alaamat hai
---------------------------------------------------
Guzra hua socho ge , ghum se bhar de ga
Socho jo aaney wale kal ko to wo darr de ga
To phir aaj ko apna hi apna jaan kar tum jiyo
Jaisa bhi ghuzre ,khushiyan wo magar de ga
----------------------------------------------------

Sach aur haq ka mol nahin koi kehat hai ye fakeer
Sachey ka sar ooncha ,jhoota sada rahey haqeer
Kahan rehegi barkat is mein kaam na tere aani
Jhoot aur beimaani kar tum ho baney gar ameer
------------------------------------------------------

Zindagi ke imtihaan ka nateeja meetha kabhi kadwa kabhi
Mushkilon mein aadmi hai banaa kabhi aur hai bigda kabhi
Yeh sab haalaat pe hai jis tarah hum karein in ka saamna
karein jashn-e- kaamyaabi ya phir ro’ein iska dukhda kabhi
---------------------------------------------------------

HO TUM JO DUKHI TO HUM KO BHI DUKH HOTA HAI
MUSKURAATE REHNE KA APNA HI MAZAA HOTA HAI
APNEY HON YA PARAAYE DUKH SABHI DETEY HAIN
KHUSH RAHO KHAAK DALO HONAY DO JO HOTA HAI

-------------------------------------------------------------


No comments:

Post a Comment