Sunday, June 2, 2013

KUCH AUR ASHAAR

Aise mauqay aatey hain yehan pe kabhi kabhi
Tha loo sa alam garmi ka , paani barse hai abhi
Mausam ka kahin thikaana nahin kab yeh karwat le
Pareshan thay garmi mein kal ab barish de kapkapi


-----------------------------------------------------


Ajeeb shai hai yeh pehloo mein jis ka naam hai dil.
Machle kabhi matley kabhi badle kabhi phisle kabhi


---------------------------------------------


Ruka agar to reh jaaoonga mein peeche
Bhaagti duadti rehti hai yeh duniyaa apni.


-----------------------------------------------


Mujh se banta hai zindagi ka wajood
Main paani hoon be rang be mazaa



@@@@@Means life is from water which is clourless and taste less.



-------------------------------------------------------

Main na mehkoon na maza hai na rang hai mujh mein
Mein paani hoon yeh ansar duniya ke mere dam se hain



@@@@@Means water do not have odour taste or clour but all these things are there in this world because of water.


-------------------------------------------------

Apni marzi na thop tu doosron par kabhi
Karney de wo oose oos ko jo achcha lage

--------------------------------------------------
Ho agar aisa to zindagaani mil jaaye mujhe
Kho jaaye hosh mera deewaangi mil jaaye mujhe
Na rahe farq baaqi khushi aur gham mein koi
Tabiat ki kuch aisi begaangi mil jaaye mujhe

-----------------------------------------------------
Teir meharbaaniyon ka zikr hi kya
Jo mila mujhey mein us qaabil na tha
kin kin naematon ka batlaayein hum
beshumaar hain tu ginta hai kya.

------------------------------------------------


JIS SE JO KUCH MILE SHUKR KAR KHUSH NASEEB HAI TU
WARNA IS HANGAAMAYE HAALAAT MEIN DETA HAI KAUN













No comments:

Post a Comment