Saturday, April 19, 2014

ARZ HAI


Koi pursaan-e-haal ab na raha aye shakil
yeh ahsaas huwa maa ke guzar jaane pe

--------- 

Ab kisi se bhi rakh tu na madad ki ummeed
Sahra mein sahaare ki sabhi soch rahe hain 

----------  

Bas yehi kaam duniya me mein kar jaaoon
Sab ka dil khushiyon se mein bhar jaaoon
Yeh kaam ho gaya to khushi ho gi mujhe
Phir chahe jis ghadi bhi mein mar jaaoon 

----------

Kai gham hain yehan aur kai fikrein hain
Udaas chehre bhi kabhi nikhrey hain
Kaise  honge ek jegah badi mushkil hai
Dil ke tukde yehan har tarf jo bikhre hain

 ----------


Karoon shukr mein khuda ka mujhe shajar wo banaya
jis mein phool  bhi khilte hain aur wo phal bhi deta hai
----------------- 
Kitna aasaan hai roothna bin baat pe khafa hona
Mushkil  hai  bahut  mushkil  wade ka wafa hona 
--------------------- 
Na dhoondh oose jo milta tha muft mein kabhi
Ab sab kuch luta bhi do , na mile Pyar maa ke baad 
-------------------------
Jhoot boloon kaise ke imaan tootne ka darr
Kahoon ga sach to phir rishte toot jaaeinge
 
-------------------
 

Kiye sawaal kayee aur jawaab na daarad
Kisi bhi neik kaar ka sawaab na daarad
Ameer kha pee ke mast huwey jaate hain
Ghareeb ke liye Roti aur Aab na daarad.


-----------------


 

 

Friday, April 11, 2014

ashaar


Tehreer  liye apni haazir huwa hoon mein
Masroof hoon lekin, ghaafil kahan hoon mein
-------------------------------------
Lagta hai aaj dekho har taraf andhera, mukammal nahin koi har shakhs adhoora
Dekho ke kya haal ho aage ab desh ka,mitti mein mila dein na sapna hai jo poora.
--------------------------------------
Hai ek muamma kehte hain jise  maut –wo- hayaat
Kaha’ kun’ usne to hum aaye bulaaya to  wafaat
----------------------------------------
Fana  hona  hai  har shae  ko ,  jis ki  takhleeq huwi
Taqdeer mein yeh sab ke,  jo hai hissa-e-kaaenaat.
----------------------------------------
 
Karam karti hai qudrat,is ke har kaam anokhe
Sahra mein bhi  giraati hai yeh baraf ke tukdey
Tapti  ho  jo  jegah,  aur  chale  gar  to  lu chale
Aatey hain wahan pe bhi sard hawaaon ke jhonke

----------------------------------------
 
Wo guzar gaye aur kar gaye taamir mahal
Hum banaate hi rahe sadiyon se hawayee qile.
-------------------------------------------
 
Ho gayee der badi ab ke hum kalaami mein.
Hum thay masroof jaane wo kyun khafa ho baithay
-------------------------------------------
Haazir hun darbar mein khud ko liye huway,
Chahe tu maaf karde ya chahay to sazaa dey
-------------------------------------------------
Badle zamaana ye kab mizaaj nahin maaloom
Tujh  se raazi  hai abhi  tu  kaam  bana le apna
---------------------------------------------------
MIRZA GHALIB SE MAAZRAT KE SAATH
 
Nullon mein daudtay phirne ke hum nahin qaayal
Jo aankh se na tapke wo paani kya hai.
--------------------------------------------------
Koshih ki thi faisla kuch aisa karoon
Ke faasla bhi tay ho aur lage bhi na
----------------------------------------------------
 
Baithey thay  naakaamiyun ke hum aansoo liye
Zamane ko muskurata dekh ke hum bhi hans diye.
----------------------------------------------------
Kabhi thanda kabhi garmi kabhi barsat to aandhi
Badlta hai aisa mausam jaise rishtedaar ho gaya.
Bacha ke laaye thay jis ko mauj-e-tufaani se
Wo kashti toot gayee dekho saahil pe aakey
 --------------------------------------------------------------------
Hum laaye hain toofaan se kishti nikaal ke
Is desh ko rakhna mere bachon sambhal ke
--------------------------------------
kab tak bachey gi  jaan teri  is jahan mein
Dharti pe kahan koi marne se bachcha hai
----------------------------------------
 
Koi bhi na aaye kaam jab waqt bura pade.
Tu kin ki sohbaton mein waqt kaat raha hai
---------------------------------------------
 
Baitha hai yehan har koi nafrat liye huway
kya sochtey ho tum ke tum  bach jaaoge is se?
---------------------------------------------


Karoon shukr mein khuda ka mujhe shajar wo banaya
jis mein phool  bhi khilte hain aur wo phal bhi deta hai.
 --------------------------------------------------
Kitna aasaan hai roothna bin baat pe khafa hona
Mushkil  hai  bahut  mushkil  wade ka wafa hona.
-------------------------------------------------------------------
Na dhoondh oose jo milta tha muft mein kabhi
Ab sab kuch luta bhi do , na mile Pyar maa ke baad
--------------------------------------------------------------------
Jhoot boloon kaise ke imaan tootne ka darr
Kahoon ga sach to phir rishte toot jaaeinge


 
-----------------X----------X-------------------------------