Saturday, June 7, 2014

ASHAAR


Sochoon mein jo maazi ko, to darr lagta hai mujh ko
Kar deti hain tang mujh ko,  yeh yadein mere kal ki.

---------

Karein Elaan kaise hum musalmaan apne hone ka
Kahan karte hain hum puri tarah se pairwaee deen ki.

 
---------

Ghusse mein bhi hosh khote nahin apne
Detay hain gaaliyan bhi wo bahut adab se

--------


Din saara guzar jaata hai chup rehne mein
Tumhein dekh ke kholte hain hum zubaan apni. 

ya 

Saara din khaamoshi si lagi rehti ghai
Zubaan apni khulti hai tumhaare aage

 
------


KAISE HUM MAANEIN KE TUM AAO GE WAADA KAR KE
HAMEIN KAAM AUR BHI HAIN KAISE INTEZAAR KAREIN

 ------

DEKHNA PADTA HAI HUM KO KAI BAATON KO
AUR JO TUM DEKHO TO FAQAT AAINA DEKHO

 
-------
 

HUM SE BICHAD KAR KE TUM RO LO GE FAQT
TUM SE BICHAD KE HUM NA JEE PAAYEINGE