Saturday, November 26, 2022

Chal akela

 Abas  baitha  hai liye  dunia  ki  tu  soch ko

Sab yahan bhag rahe hain khushi ki khoj ko

 Kis  ko  fikr  padi  hai  jo  dekhe  teri  taraf

Khud gham utha pahad sa na dekh bojh ko

 

Zindagi  dekhne ka nazariya badal gaya

 Jis ke sahaare zinda thay wo zaria badal gaya

 Kashti ko zindagi ki le jaayein ab kidhar

 Takia tha jis darya pe wo darya badal gaya 


Tanha chalne ki raah tayaar kar lee ab

Dooriyaan sab se, ikhtiyaar kar lee ab

Is daur ko aana hai zindagi mein aakhri

Bas aaj hi se zindagi dushwaar kar lee ab

 

Kuch logon ko hum bhula na payenge kabhi

 Ehsaanon ka  bojh chuka na payenge kabhi

 Yaadon ke sahaare  ab beetainge shab o roz

 Isi bahaane hum  inko juda na payenge kabhi

 

Hoga na koi yaar o madadgaar  is ke baad

Na honge kisi karam ke qarazdaar is ke baad

 Mehfil aur kaarvaan ke daur khatam ho chalay

 Khushgawaar na hoga phir itwaar is ke baad

 

Dunia mein koi waqt yaksaan nahin hota

Har waqt rahe koi saath aasaan nahin hota

 Mukhtalif si masrufiyaat hain har ek daur ki

Shikayat kyun kisi se ke meherbaan nahin hota

 

Kayee aaye gaye dunia mein yaad kaun raha

Barbaad kaun  huwa  aur  aabaad kaun raha

 Kahan fursat milay kisi ko sar uthaane ki

Sab jeete hain ghulaami mein azaad kaun raha

 

Sukh dukh ke khameer se, bani hai zindagi

Rab ka shukr har haal mein karna hai bandagi

Mehwar hai zindagi ka faqat ek Muqqaddar

 Muqaddar bane hai waqt se jab ho pabandagi