Friday, January 19, 2018

Zindagi Salam o Dua


Zindagi ki dagar pe bas dhoka huwa hai
Peeche gehri khaai aur aagay Kuwan hai


Hai zindagi ek khel tum khelo sambhal ke
Jo chooke to hare, yeh aisa juwa hai


Na pairon mein hai dam na mukammal safar hai
Phir lagta hai kyun,  manzil  ko chuwa hai


Na tum saath aaye na hum paas aaye
Chalo zindagi bas salaam o dua hai


Wo nazdikiyan kho gayi hain hawa mein
Yeh  hota raha hai ye phir se huwa hai.





Ek sachcha shaer


Main ne maana ke sadaaye haq ko dabaaeinge yeh log
Aur awaz jhooton ki har jegah pohchaaeinge yeh log
Tareekh sabaq deti hai sachchai nahin marti kabhi
Jo bhi kar lein  sitam,  ek din sog manaeinge yeh log

Ajeeb log

Mere Wajood pe wo apni raaye rakhte hain
Kaam kuch karte nahin log mujhe takte hain


Karo kuch ya na karo dono amal baraabar se
Kiya kuch to ghalat , na kiya to bura bakte hain


Dunia badal gayee saari yeh magar nahin badle
Kisi ko dekh ke khush, uspe taane kaste hain


Hain padhe likhe magar hain jahaalat se bhare
Wo khud nahin jaante , wo aisa kyun karte hain


Rulaaya hai kabhi, dil ko kabhi dukhaaya bahut
Nahin pata, hum kyun aankh mein khatakte hain


Yeh kaisi bebasi hai, hai kaisi apni mujboori
Hum is tarah ke logon mein kyun baste hain

Ghalat Fahmi

Mujh ko tera intezar , tera deedar talab tha
Tujh se milne ki dua, tera har zikr ba lab tha
Pata chali na aane pe na milne ki wajah teri
Hum se naraaz tha, ghussa tha , yeh ajab tha


Meri kahi huwi baton mein maza tha adab tha
Mera likha huwa jumla tere hansne ka sabab tha
Khush dekhna chaaha tujhe har pal har ghadi
Yehi kaam jo  ab hai wahi mera shughal tab tha


Sukoon dil ka tha, bechaini thi, acha bura sab tha
Magar badhaali jo ab hai kaho yeh haal e dil kab tha
Ghalat fahmi bahdaati hai dilon mein duriyaan sabki
Dost hoon, batlaao , bartaao ghairon sa mera kab tha


Tu hai kaun, main kaun hoon, na ye hasab nasab tha
Na hunar ka teri charcha na bayaan mera laqab tha
Oonch neech ka paimaana kahan meezan yaari mein
Tu jigar mera kehlaata to main bhi tera qalab tha


Bhara pyaala yaqeeen ka darmiyaan apne lablab tha
Na thi beqaraari koi, bas qaraar hi qaraar jab tha
Wo din kitne bhale thay, mushkilein asaan lagti thein
Tu tha saath mere to lagta ke khush mera rab tha