Saturday, September 24, 2016

Mitti Pathar

Suna hai hum ne sabhi se yeh aksar
Be- his logo ko log kehte hain pathar


Samjhte hain  pathar ko bejaan jo
Hote hain duniya mein naadaan wo


Agar bejaan hain pathar to  hilte wo kyun
26 /12/04  ko harkat mein aate wo kyun 


Ped poudon ko bhi aisa samjhte thay log
Bejaan hain aisa yeh kehte thay log


Ab yeh socho ke kaise phool aur paude
Nikalte hain zinda jab koi beej bo de


Mitti se bana  jab yeh insaan hai
Mitti mein bhi to phir basi jaan hai


kahan in ki bhi shakl hu ba hu hai hoti
har jegah juda in ki khushbu hai hoti 


Goud mein apni sab ko hain daale huway
Matti Pathar hain Duniya sambhale huway









Friday, September 23, 2016

TANHA

Rahega nazariya tera , rahe teri soch tanha
Khushi ka dariya tera , rahe ghamon ka bojh tanha
Tanha  tera wajood teri pehchaan tanha
Tanha teri hudood teri udaan tanha
Teri rehguzar mukhtalif , teri manzil tanha
Teri rahat wo takleef teri mushkil tanha
Tera sabr shukr aur teri adaavat  tanha
Tera zikr fikr aur teri ibaadat  tanaa
Hua hai aana duniya mein jis tarah tanha
Hoga tera jaana bhi dunya se is tarah tanha