Kahan koi khana nashini mein saath hota hai
Kahan hathon mein ab kisi ka haath hota hai
Be-rukhi sa bartaao aur nazar-andaz karte hain log
Zaleel hota dekh aadmi phir din raat rota hai
Sach kaha hai kisi ne rupiye se hi rishtay hain
Berozgaar hain Bekaar aur baa rozgaar farishtay hain
Lutaao ge jo rupia tum is jehan ke logon pe
Dekhna phir kaise log aage peechay bichtay hain
Ab badal gaya hai Dunia mein zindagi ka mayaar
Jitni ziyaada hai daulat milta utna ziyaada hai pyaar
Qadar insaan ki ghat ghat ke sifar ho gayee ab
Isay badhaane ko hai ab khoob daulat dar kaar
Zinda ho jab tak kabhi na khaali haath rahe
Aadmi bhooka reh le kisi ka na mohtaaj rahe
Khudgharzi to azal se aadmi ki fitrat rahi hai
Ye samajh lo to gham kabhi na saath rahe