Wednesday, April 8, 2026

Poem

 Sadiyun se aate rahe ibn e adam 

Ladte jhagate rahe yeh to har dam 
Zindagi milti hai jeene ko chand din 
Samjh kar na samjhe kabhi ye Adam 

Raha kahan qaayam hai koi zamaana 
Firaun Hitler kahan hain bataana 
Hai  anjaam sab ka  yehan  ek jaisa 
Yehan jo bhi aaya, hai usko to jaana 

Kai  daur  aaye  kai daur guzre 
Rehne ko aaye magar log bikhray 
Na zaalim rahe na mazloom zinda 
Koi bas na paaya sabhi log ujday 

Zulm ki aandhi yeh kab tak chalegi 
Zehnon mein  kab tak nafrat  palegi 
Fanaa hone aati jab har sha’e yehan pe To kuch der reh kar   hawa badlegi. 

Monday, March 16, 2026

Ashaar

 Beete dino ke kuch lamhe sunehre hain 

Dhundali si yaadon ke dhundhle chehre hain 

———————————————-

Kabhi kisi ko dekh ke anjaan sa kage 

Kabhi koi surat hai lage  dekhi  bhaali 

———————————————-

Kai Din se koyee aaya nahin 

Koi geet yaari ka gaya nahin

Dekh badla hai rukh kisi yaar ka 

Main aise kabhi mukuraaaya nahin

————————————————-

Zindagi bhi ek safar ki tarah hai shru hoti hai khatam hone ko 

Inki raahein mukhtalif hoti hain par anjaam aur aaghaaz  hai ek sa.

———————————————

Dekhein guzra zamana jis mein wo darpan nahin milta 

Dhoondate rehte hain har kahin wo bachpan nahin milta 

———————————————-

Sukh aur sukoon ka is dunia mein na tu Soch 

Badi bhaari hain ye tu utha na sakega inka bojh 

Ke milti nahin hain ye cheezein kabhi bhi kisi ko 

Khush raho har haal mein,  na karo in ki khoj 




Poem

 Bikharti simat’ti lehron ku tarah 

Jawar bhata zindagi mein bhara 

Rahe ye Talat unto zinda ho tum

Sukunat mile to zindagi ho khatam

Badalna to waqt ki fitrat mein hai aur hai

Ye amal shamil Qudrat mein hai 

Har ‘haal’ ko apni qismat tu jaan 

Guzra Jo ‘maazi’ na usko phechaan 

Jo mili hain raahein tu us par hi chal 

Rukna nahin badha qadam sambhal sambhal 

Sab ki raahein juda sab ki manzil juda 

Ye pehle hi sa likh chuka hai khuda 

Milti hai manzil sabhi  ko Yehan 

Wohi Teri manzil tu pohanche Jehan



Poem

 Saadgi tujh mein hai aur hai inkasaari 

Khuda ko lagti hai yeh baat bahut hi pyaari 

Mitti aur paani se bani Dunia aur ahle Dunia 

Ye baat to hum sab ne hai jaani 

To kya Raja bhoj aur Gangu teli 

Jo mila jis ko ohda jegah us ne le li 

Agar tujh mein hai zara bhi ghamand 

To yeh baat khuda ko hai naa  pasand 

Apni is harkat se aa jaa tu baaz 

Tu chaahe ho Mehmood yaa ho Ayaz 

Gaye is jehan se sabhi haath khaali 

Sikandar ho ya ho wo bghia ka maali