Saturday, November 26, 2022

Chal akela

 Abas  baitha  hai liye  dunia  ki  tu  soch ko

Sab yahan bhag rahe hain khushi ki khoj ko

 Kis  ko  fikr  padi  hai  jo  dekhe  teri  taraf

Khud gham utha pahad sa na dekh bojh ko

 

Zindagi  dekhne ka nazariya badal gaya

 Jis ke sahaare zinda thay wo zaria badal gaya

 Kashti ko zindagi ki le jaayein ab kidhar

 Takia tha jis darya pe wo darya badal gaya 


Tanha chalne ki raah tayaar kar lee ab

Dooriyaan sab se, ikhtiyaar kar lee ab

Is daur ko aana hai zindagi mein aakhri

Bas aaj hi se zindagi dushwaar kar lee ab

 

Kuch logon ko hum bhula na payenge kabhi

 Ehsaanon ka  bojh chuka na payenge kabhi

 Yaadon ke sahaare  ab beetainge shab o roz

 Isi bahaane hum  inko juda na payenge kabhi

 

Hoga na koi yaar o madadgaar  is ke baad

Na honge kisi karam ke qarazdaar is ke baad

 Mehfil aur kaarvaan ke daur khatam ho chalay

 Khushgawaar na hoga phir itwaar is ke baad

 

Dunia mein koi waqt yaksaan nahin hota

Har waqt rahe koi saath aasaan nahin hota

 Mukhtalif si masrufiyaat hain har ek daur ki

Shikayat kyun kisi se ke meherbaan nahin hota

 

Kayee aaye gaye dunia mein yaad kaun raha

Barbaad kaun  huwa  aur  aabaad kaun raha

 Kahan fursat milay kisi ko sar uthaane ki

Sab jeete hain ghulaami mein azaad kaun raha

 

Sukh dukh ke khameer se, bani hai zindagi

Rab ka shukr har haal mein karna hai bandagi

Mehwar hai zindagi ka faqat ek Muqqaddar

 Muqaddar bane hai waqt se jab ho pabandagi


 

Sunday, October 23, 2022

AAJ KA DAUR - IN A SMALL "TEXT " MESSAGE. :-)

 

 

Aaj ka daur aisa hai ke agar Hatim Tai bhi zinda hota to uski sakhawat ki kahani nahin banti kyun ki jo bhi daulat iske paas hoti wo usko kum lagti.

Logon ne zarooratein aur zimmedaariaan itni badha li hain ke jitna bank balance hota hai kum lagta hai……

AAJ ZINDAGI- POEM

 

AAJ KUCH AISA HO GAYA HAI ZINDAGI KA WAJOOD

ZAROORAT, ZIMMEDAARI,KHWAHISH, ARMAAN SAB MAUJOOD

PAISA KISI SHAKAL MEIN AAYE MAGAR AAYE ZAROOR

WOH CHAAHE PASINE KI HO KAMAI YA PHIR AAYE SOOD

 

SABHI JAANTE HAIN KE JAANTA HAI SAB MAABOOD

DAUR E QAYAMAT HAI, BURAAYEE MAUJOOD,  NEKI NAA BOOD

KAL TAK JO BURA LAGTA THA WO AAJ MAZAA DETA HAI

RAM KA NAAM BHULA BAITHE, BHULA BAITHE DAROOD


APNE DAIRE MEIN KOI AAJ NAHIN HAI MEHDOOD

HAR KOI PAAR KAR JAATA YEHAN APNI HUDOOD

PAABANDIYAAN TO KAR CHUKE HAIN KAB KI KHATAM

CHAAHE HO MAULAANA WOH YA HO WOH MARDOOD


KHUDGHARZI KA CHAAYA REHTA HAI YEHAN SAB PE GHUNOOD 

WOH  PHIR HO MOHAN , MATHEW YA  PHIR HO MASOOD

SABHI DEKHTE HAIN YEHAN SIRF FAYDA APNA

MAHOL BADBU SE BHAR DIA JAHAN MEHAKTA THA OUD 

Saturday, June 18, 2022

WAH KYA JEGAH HAI DOSTO

NA ZAMEEN NA FALAK

YEH DUNIYA HAI ALAG


CHAAND SURAJ  TAARE

SAB  PAAS  HAMAARE


KAALA GORA SAB EK

BADA CHOTA SAB NEK


BACHPAN JAWANI BUDHAAPA

SAB KA EK SA SARAAPAA


NA HAI TAFREEQ

SAB BARABAR SHAREEK


NAHIN KARTE NAFRAT

SAB KARTE MOHABBAT


ZINDAGI GUZR GAYEE

ROOH SANWAR GAYEE


MAUT  KA  AB  DARR

HO HAMEIN KYUN KAR


JO YE MUQAAM HAI

AB YAHIN QAYAAM HAI


MAZHAB   JUDA NAHIN

MUKHTALIF KHUDA NAHIN



Monday, April 4, 2022

POEM

 


KAISE KAROON BAYAN MEIN FARYAAD APNI 

KAUN SUNEGA, KEHTA NAHIN MEIN BAAT APNI 

DIN KHAMOSH SA REHTA HAI AJNABI KI TARAH 

SHAUQ SE SUNTI HAI KAHANI MERI, RAAT APNI 


DUNIA HAR PAL BADAL DETI HAI  BISAAT APNI 

KABHI KHIZAAN KA TASALSUL KABHI BARSAAT APNI 

KISI MAUSAM MEIN AADAM KO NA SUKUN MILE

KISE AAFAT KAHEIN, KAHEIN KISE SAUGHAAT APNI 


GHARIB TARSE YEHAN LENE KO  KHAIRAAT APNI

HOGA KAISE KHUSH JEE KE WOH HAYAAT APNI 

KHUSHI PAANA BHI JIN KO YEHAN SAPNA SA LAGE 

KARTE MEHNAT SE HAIN WO EK DIN -O -RAAT APNI 


LIYE BAITHA HAI  KOI YAADON KI BARAAT APNI 

DUNIA HAI  NA APNI  NA LAGE KAAINAAT APNI 

TAQDEER BHI APNI KO WOH, AB KAISE LIKHE  

NA QALAM HAI USKA NA RAKHE DAWAAT APNI 


ZAMIR MARTA HAI,MARTI HAI HARDIN  ZAAT APNI

JEHAAN KUCH HAI, KUCH AUR HAI AUQAAT APNI 

ZILLAT O GHAIRAT KA YEHAN CHALAN HI NAHIN 

ZINDAGI JEENE SE BEHTAR YEHAN WAFAAT APNI 

.

CHANGED FEW WORDS AND ADJUSTED 

NOW THE TITLE IS "KISAAN:

.

KAISE KAROON BAYAN MEIN FARYAAD APNI 

KAUN SUNEGA, KEHTA NAHIN MEIN BAAT APNI 

DIN KHAMOSH SA REHTA HAI AJNABI KI TARAH 

SHAUQ SE SUNTI HAI KAHANI MERI, RAAT APNI 

 

KISAAN  TARSE YEHAN KHANE KO ZARAAT  APNI

HOGA KAISE KHUSH JEE KE WOH HAYAAT APNI 

SHIKAM SAIR KHAANA JIN KO  SAPNA SA LAGE 

KARTE MEHNAT SE HAIN WO EK, DIN -O -RAAT APNI 

 

DUNIA HAR PAL BADAL DETI HAI  BISAAT APNI 

KABHI KHIZAAN KA TASALSUL KABHI BARSAAT APNI 

KISI MAUSAM MEIN BHI KISAAN KO NA SUKUN MILE

KISE AAFAT KAHEIN, KAHEIN KISE SAU GHAAT APNI 

 

LIYE BAITHA HAI  KOI YAADON KI BARAAT APNI 

DUNIA HAI  NA APNI  NA LAGE KAAINAAT  APNI 

TAQDEER BHI APNI KO WOH, AB KAISE LIKHE  

NA QALAM HAI USKA NA RAKHE DAWAAT APNI 





Saturday, March 19, 2022

poem


Kis ko talab karoon ,khwahish karoon kis ki 

Rehbar nahin hai koi , sataish karoon kis ki

 Dhong  hai  chalaawa  hai  dunia mein  is qadr

 Kis ka loon imtihaan , azmaish karoon kis k

 

Jaazib nazar na koi , farmaish karoon kis ki 


Heere to  patthar hain, zebaish karoon kis ki

 

Saare armaan o hasratein  dum todnay lage


Kis ka ho izhaar aur guzarish karoon kis ki



 

Is toote huway dil mein, rehaish karoon kis ki 


Matlabi sabhi dunia mein,  sifarish karoon kis ki


Khaayee hai chot hum ne,  wafa jis se bhi hai ki 


Zakham mila zamane se  nawazish karoon kis ki



 

Kis raah  rakhoon qadam , paimaish karoon kis ki 


Mile hain dukh itne  ,  numaish karoon kis ki


Na khoon mein rawaani na ankhon mein hai paani


Izhaare gham karna ho to barish karoon kis ki

POEM

 Jaane kyun ab kharaab si lagti hai 

Zindagi hamein ek  azaab si lagti hai

 

Daraati hai har pal anjaam se apne

 

Na mukammal se kisi inqilaab si lagti hai

 

 

Ilm nahin jiska hamein suraab si lagti hai

 

Bhool bhulaiyun ke yaksaan baab si lagti hai

 

Aankh khulte hi manzar badal jaate hain 

 

Hamein raat mein dekhe khwaab si lagti hai

 

 

Gunaahon mein ghire sawaab si lagti hai

 

 Maikhaanon mein bikti sharaab si lagti hai

 

 Jo rukti  nahin kisi raah ke rodhon se

 

Pahaadon mein behte oos aab si lagti hai

 

 

Mushkil zabaan mein likhi kitaab si lagti hai

 

Jo sulajh na paaye aise hisaab si lagti hai

 

 Har koi fail huwa hai  imtihaan mein is ke

 

Mushkil sawaalon ke jawaab si lagti hai

 

Different Strokes

 Kisi ne aabaad kar liya hai jab  jehan apna 

To barbaad kyun tum apna jehan karte ho

 

 Yehan hota hai sab  Khuda ki marzi  se

 

Yeh Jaante huway naadaani kyun karte  ho

 

----------------------x--------------------------------------------------------x--------------------------------------x----------


Kia jo hum ne kaam kabhi , kuch bura hua  kuch bhala Kia

Maana  logo ki nazron  se kuch chupa   lia kuch Khula  Kia

Log to har ek kaam mein bhaiyya kuch to nuqs nikaalein ge

Kuch ko to hum ne taal  dia, kuch ka hum ne bhaee gila kia

 

---------------------------x--------------------------------------------------------x-------------------------------------x------------


Har haal mein khush baash  raho tum fikr chodo

Haal mein jiyo har dum , maazi ka tum zikr chodo

Ab tauba kar li hum ne jaane anjaane gunahon se 

Pakdo tum bhi imaan ka daaman miyan Kufr chodo

 

---------------------------------------x------------------------------------------------x------------------------------------------x-----


Wednesday, February 2, 2022

Daur Aaj Kal

Naye daur ka baab khula hai

Har paapi dhoodh ka dhula hai


Nekiyaan sab hoti  hain zaaye


Sharifon ka moonh sila hai


 

Ye kaisa chalan chalaa hai


Har dhongi ka hota bhala hai


Rehte hain chain se dunia mein


Sachay ko dard hi mila hai


 

Aadmi Aadmi ko lagta bala hai


Nafraton ka zahar ghula hai


Insaaniyat bhooli hai apna sabaq


Logo ka aapas mein dil yun jala hai

 

 

Bechaini hai aur ek khalaa hai


Mizaaj har waqt  mila jula hai


Zindagi ab kyun bojh si lagti hai


Qurbaaniyun ka kya yehi sila hai

KABHI



Kabhi aarzu kabhi darr bhi

kabhi sahuq kabhi fikr bhi 

Doob ke hi paar niklo ge

Kabhi buzdili kabhi nidarr bhi


 

Kabhi chup kabhi zikr bhi


Kabhi nashukri kabhi shukr bhi


Kyun naaraaz ho  dunia se


Kabhi amrit bhi kabhi zahar bhi


 

Kabhi shab kabhi sahar  bhi


Kabhi sahara kabhi behar  bhi


Do chehray  yehan sab ke


Kabhi mukhlis kabhi qahar bhi


 

Kabhi bechain kabhi sabr bhi

 

Kabhi be rukhi kabhi qadr bhi 


Kai tareeqe hain kaam lene ke


Kabhi pyaar se kabhi jabr bhi

 

HALAAT AAJ KAL

 Kis ko talab karoon ,khwahish karoon kis ki 

Rehbar nahin hai koi , sataish karoon kis ki

 

Dhong  hai  chalaawa  hai  dunia mein  is qadr

 

Kis ka loon imtihaan , azmaish karoon kis ki


 

Jaazib nazar na koi , farmaish karoon kis ki

 

Heere to  patthar hain, zebaish karoon kis ki

 

Saare armaan o hasratein  dum todnay lage

 

Kis ka ho izhaar aur guzarish karoon kis ki


 

Is toote huway dil mein, rehaish karoon kis ki

 

Matlabi sabhi dunia mein,  sifarish karoon kis ki

 

Khaayee hai chot hum ne,  wafa jis se bhi hai ki

 

Zakham mila zamane se  nawazish karoon kis ki


 

Kis raah  rakhoon qadam , paimaish karoon kis ki

 

Mile hain dukh itne  ,  numaish karoon kis ki

 

Na khoon mein rawaani na ankhon mein hai paani

 

 Izhaare gham ho karna  to barish karoon kis ki