Tuesday, July 7, 2020

Ek azaad nazm- Aye Zindagi

            Ek azaad nazm

Aye Zindagi …. 



Samajh mein tu kisi ke na aayee hai  
Maqsad hai tera kya na kisi ne jaana

Na mila hai jawaab is sawaal ka ab tak 
Bataaye koi hamein ke zindagi kya hai ?

Kahin aqal ka ambaar liye phirti tu 
To kahin pagal si bebaak jiye jaati hai

Ghurorr se bhari akadti aur kabhi itraati 
To kahin inkasaari se bhari hoti hai

Kahin tadapti sisakti huwee tu hum ko dikhe
To kahin raqs se madhosh bhi nazar aaye 

Koi aajiz hai pareshaan hai tujhe paa ke
Kahin khushi aur muskurahaton mein jiye jaaye

Koi koshish kare tujh se panah lenay ki
Kahin shiddat se duaaon mein maangi jaaye 

Wo hawa ho khlaa ho, ho paani ya zameen
Kahan kahan hai tera wajood ye tu jaane

Koi bhi roop liye tu kahin par bhi jiye
Kahin yaksaaniyat tujh mein magar nahin hogi           

Kahin tu munjamid aur kare kahin harkat
Har ek paas hai mukhtalif teri muddat

Kahin pade pade hi tera dum niklay
Kahin chaltay chaltay hi tu chali jaaye