Sadiyun se aate rahe ibn e adam
Bloom
Wednesday, April 8, 2026
Poem
Monday, March 16, 2026
Ashaar
Beete dino ke kuch lamhe sunehre hain
Dhundali si yaadon ke dhundhle chehre hain
———————————————-
Kabhi kisi ko dekh ke anjaan sa kage
Kabhi koi surat hai lage dekhi bhaali
———————————————-
Kai Din se koyee aaya nahin
Koi geet yaari ka gaya nahin
Dekh badla hai rukh kisi yaar ka
Main aise kabhi mukuraaaya nahin
————————————————-
Zindagi bhi ek safar ki tarah hai shru hoti hai khatam hone ko
Inki raahein mukhtalif hoti hain par anjaam aur aaghaaz hai ek sa.
———————————————
Dekhein guzra zamana jis mein wo darpan nahin milta
Dhoondate rehte hain har kahin wo bachpan nahin milta
———————————————-
Sukh aur sukoon ka is dunia mein na tu Soch
Badi bhaari hain ye tu utha na sakega inka bojh
Ke milti nahin hain ye cheezein kabhi bhi kisi ko
Khush raho har haal mein, na karo in ki khoj
Poem
Bikharti simat’ti lehron ku tarah
Jawar bhata zindagi mein bhara
Rahe ye Talat unto zinda ho tum
Sukunat mile to zindagi ho khatam
Badalna to waqt ki fitrat mein hai aur hai
Ye amal shamil Qudrat mein hai
Har ‘haal’ ko apni qismat tu jaan
Guzra Jo ‘maazi’ na usko phechaan
Jo mili hain raahein tu us par hi chal
Rukna nahin badha qadam sambhal sambhal
Sab ki raahein juda sab ki manzil juda
Ye pehle hi sa likh chuka hai khuda
Milti hai manzil sabhi ko Yehan
Wohi Teri manzil tu pohanche Jehan
Poem
Saadgi tujh mein hai aur hai inkasaari
Khuda ko lagti hai yeh baat bahut hi pyaari
Mitti aur paani se bani Dunia aur ahle Dunia
Ye baat to hum sab ne hai jaani
To kya Raja bhoj aur Gangu teli
Jo mila jis ko ohda jegah us ne le li
Agar tujh mein hai zara bhi ghamand
To yeh baat khuda ko hai naa pasand
Apni is harkat se aa jaa tu baaz
Tu chaahe ho Mehmood yaa ho Ayaz
Gaye is jehan se sabhi haath khaali
Sikandar ho ya ho wo bghia ka maali
Friday, September 5, 2025
Doha ek koshish
Parbat tootay sansar mein, sagar bhi tukday howay
Har mushkil assaan howay jo himmat pakday howay
Koi na paththar rokay raah jab tu chale badh badh ke
Udh,aakaash hai manzil kyun pankh sukaday howay
Dunia hai , sabhi dukhi , sab ke hi dukhday howay
Yehan azaadi na dekhe koi sab hi jakday howay
Bhaant bhaant ke log yehan baat baat lad leway
Gariban ghussa alag karein , ameeran akday howay
Punae sansasr se na mile hai , paap sab joday howay
Buray logan se bhari hai dharti achche thoday howay
Dil chahe ke baandh ke gathri le lein hum banbaas
Kaise rahein un bando mein jo mukhpat odhay howay
Beet gaye wo yug jab sant sabhi ukhday ukhday howay
Kehte khud ko bhagwan thay ,wo chahay bigday howay
Dharam naam pe paise le lein seedha apna ullu karbe
Ab jab sab ki pol khuli to chupay hai mukhday howay
Thursday, September 4, 2025
Ashaar
Khud par kar bharosa to sapne sahakaar honge
Har kaam jo mushkil lagte hain mumkin yaar honge
Kaamyaabi milegi ek din aur manzil paaoge
Mushkil raaste jeevan ke khud hamwaar honge
———//////———
Zindagi do rukh ki hotai hai
Ek sahi to dooji ghalat hoti hai
Ek pehlu bura to doosra behtar
Gham ek taraf khushi doosri or hoti hai
——////———/////———-
Ishq hota hai dil se,kya samjhe ga jahan
Aashiq pyar ka izhaar karta hai kahan
Yeh mumkin hota izhaar ishq ka ke jab
Khuda dil ko bhi agar deta ek zaban
——/////———//////———————
Tasveerein hain ye hamaare guzre huway kal ki
Kya itni pyaari itni achchi hum sab ki shakal thi
Ye main nahin kehta kehte hain thinker bade
Ye kisi aur ki nahin apne Darwin ki aqal thi
———////———/////———
Maine jo likha tum ne woh padha
Kya ghalat kya sahi ye tum ko hai pata
———-///———-////————-
Is likhne ke andaz se main bhi hun dang
Jaane kahan se jaagi mujh mein ye unang
Thay mujh mein ye gun is tarah ke
Jis tarah safed rang mein chupe hain saat rang
———-///////—————
Wednesday, September 3, 2025
Ashaar
Jab koi roke tumhein badhne se aage
Tum badh jao tod ke saare bandhan ke dhaage
Yeh aaye ho oomchaaeyan chune ko tum
Qaabil ho tum,tum se na koi aage bhaage
——-////——-:////———
Mud kar peechay dekhoge jab tum maazi mein
Jeet nazar aayegi tumhein apni kheli baazi mein
Mushkilein hoti hain zindagi mein rokne ke liye
Kaamyaab hai wo jo na phansa iski jaalsazi mein
——-///——-/////———/////——
Likha jaisa bhi ho qismat ki kitabon mein haath jo tera lage taqdeer badal jaayegi
Soorat kitni bhi buri zamane gardish kare, mukura de tu tasweer badal jaayegi
Badnaseebi ka daur daura ho jab har taraf gar saath ho tum taqdeer badal jeeyegi
Manzar buray khwabon ke kyun na kitne hi hon sang tera ho to taabeer badal jaayegi
—-/:::::-/—/—-//-::::::——////////
Dunia mein har ek cheez thode waqt ko bani
Woh raat ka andhera ho ya ho din ki roshni
Suraj ka nikalna aur doobna hai bas pal bhar ka
Achche waqt ki ghadi bhi zara der ko hai rehni
——-://///————/////————//////
Zindagi naam lage hai achche aur buray lamhaon ka
Yeh muqaam hai kabhi khushi kabhi gham ke hamlon ka
———/////////:————-::::::::