Saturday, December 27, 2014

few more

Aayeein khusiyaan thein ghar jis dagar aatey aatey
khush huway thay hum jinhein is qadar paatey paatey
Bichadne ka un se ab waqt aa chukaa hai
Laut jaayeingi usi dagar apne ghar jaatey jaatey
 
--------------
Dil  ki  khushi , aankhon ki chamak, ghar ki raunaq
Sab chali jaati hain  jaane kahan  unke jaatey jaatey
 --------
Majboori  kab  aur  kaise  laahaq hogi
Samajh qaasir hai apni kyun is baat se
-------
Har sitam ko karta hai yeh qubool aadmi
Ab tanha reh gaya hai yeh fuzool  aadmi
 

Saturday, December 20, 2014

FIRQE


Kehne ko hai bahut, kahoon to faayda kya hai

Hum ahl-e- deen bhool chuke  qaayda kya hai

 

Kai wajeh se hain bane deen mein firqe

Har ek firqa doosre pe kase hai  ab fiqre

 

Jahaalat hai  Ana hai to kahin hai rozi roti

Kisi ko nahi khayaal, tauheen deen ki hoti

 

Kis kis ka karein bayan hum kyun karein zikr

Har koi yehan kar raha , bebaak ho kar shirk

 

Sab  hain yehan sahi  apne gumaan mein

Bhool baitha muslamaan kya likha quraan mein

 

Maula hamein tu raah jo seedhi hai dikha de

Duniya se yeh firqon ka farq tu ab mita de








 
 

College ka daur


Sab se alag thalg  hota college ka yeh  daur

Na  hoti paabandi koi,  na chale  kisi ka zor

 

Muqaddar  hai  cheez  kya na jaane yeh  koi

Fikr kise Naseeb kab jaage ya hai qismat soyi

 

Karte apni mann maani jo maani dil ki maani                              

Hota College ka gulta bahaane yaad zubaani

 

Dil lagta na padhayee mein to yeh hota aksar

Dil maar ke baithay rehte, sunte boring lecture                               

 

Shauq lagte sab achche na nazar aati buraayee

Ghaltiyun pe hanste sab  ho apni ya paraayee

 

Dost kuch bane naye   saath thay puraane bhi

Kuch sharir aur shareef to kuch deewaane bhi

 

Kabhi khaana hotel mein hota  kabhi gol kar jaate

Paise kahan hote itne  hum roz pait  bhar  khaate  

 

Waqt guzarta hans bol ke sab khushi se jeete

Fikr bas ek baat ki rehti waqt na ab ye beetay

 

Hota hai kya Ishq is daur mein jaante thay sabhi

Kuch ne kiya aur nibhaaya aur kuch ne na kabhi

 

Gaye sur School ke , College  ke  wo  geet  gaye

Kab  aayein  hain  palat  ke wo,  din jo beet  gaye

 

 

kuch aur ahshaar

Dono kaifiyaat ab le aati hain aankhon mein paani
Hum  ne mita  rakha  hai farq  gham aur khushi ka
 

Na uktaahat  ho aur  na ho  thakan
Jab  kaam karo apni khushi se tum



Ghalib chacha se maazrat ke ssath..… ..
 

Shakil ki bazm mein ashaar ka daftar khula
band tha ab tak jo maktab us ka  dar khula
na thay ahle qalam darte thay tanqeedon se
likha phir aisa ke mere dil se un ka darr khula

----- 


Is zamaane ki hai bhai  yehi kahaani

Kaam na karna bas karna manmaani

Isi liye chaahein naukari sab sarkaari

Jhoot bolna aur phir karna beimaani

 
----  

Jab hum thay buray to jehan achcha tha
Hum achche banay to jahaan bura huwa

---- 


Jab    roz    hi    pahunche    unhein   naama   jo   mera
Kaise mumkin hai ke mauzu bhi ho aur mazmoon bhi

few more


Bhoole baithe hain hum zamaane se
Yaad  mein jin ki  thay  deewaane se



Tareeqa-e-kaar  mein  , ab aayegi  tere tabdeeli
Teri  nazrein  na  shab o roz  mujhe  dhundeingi
Woh  jo  karta  tha  aham  waqt  ki   tu   barbaadi
Kaam ki ghadiyan ab , har  pal ko tujhe dhudeingi


Aaj ke baad ab aayega  ga adab ka bhi qahet
Na khila paayega gulshan  yeh aankh ka paani



Main ne  guzaar diye saare din yaheen haaye
Kaun kehta hai karta hoon main  jo dil chaahe
Dil ki gar manta to Bombay ka main rukh karta
Bita diye din jaise beete tujhe yeh bin bataaye



Dekh ke dard ko  ab kaise  khud se  door karoon
Qurbaan kar ke baitha hoon sab khushiyaan meri


Sabhi kar aaya qurbaan jo mere bas mein tha
Koi baateye ke main aur kya qurbaan karoon



Sab  se  mukhtalif  thi  is  baar  meri Eid al Adhaa.
Sahibo main ne apni khushyuon ko qurbaan kiya



Khyaal khud se ziyaada  kar doosra kisi ka
Qurbaani hi to naam hai doosra khushi ka


Detay hain  zindagi  mein qurbaaniyuon ko jo
Karte hain hum un hi se qurbaaniyuon ka zikr

 

small one


Kya bataaoon ke khojne mein tujhe

Jaane  kahan sey  main   Kahan aaya

Dasht  sahra  samandar  aur pahaad

Dekh  mein  saare yeh  jehaan  aaya

Na  jaanoon terI  naaraazgi ki wajah

Soojh boojh apni mein ganwa aaya

Ki  hai  khataa to mujhe maafi de de

Jo aayaa samjh mein wo zubaan aaya

ASHAAR - KUCH KHILTE CHUBHTE :-)


Kya karein mushkilon ka hum bayan
Har pal yahan hota hai ek imtihaan


Apni mushkil ko tu apna jaan
Tu seekhe ga kaise jo hull mein ne kardi


Sabaq seekhega tu , agar bhoole rasta
To rasta mein tujh ko kyun kar dikhaun.


Padegi jo thokar , to samjhe ga tab tu
To phir tujh ko girte pe kyun mein sambhalun


Karega tu kharcha agar paise mein doon
Phir tu hi bata paise kaise mein de doon


DEKH DHAMKI TERI MUJH KO LAGTI NAJAYEZ
ADA KAR CHUKE HUM HUQOOQ WO FARAYEZ



Hua  sab  khatam  un  ki  ek  ‘ NA ‘  se
Banaate rahe hum  mahal kaise kaise



Himmat nahin ke , qadam aage badhte
Na  hoga  ab aisa , ke hum haq pe ladte
Huway hum budhaape se majboor aise
Kate gi umar yeh , ab khat likhte, padhte



Dekhne mein lage aisa ke  hukmarani  hai haath
Kahne  ko hain  hakim par pareshaani  hai saath

 
Achchai karo sab ke saath dekho achcha na bura
Ho jaanwar ya insaan,  peeth pe  ghopo na chura
Gadhe,  ghode,  hain  sab  makhlooq  us  khaliq  ki
Chaahe nazron ko  na  bhaaye yaa ho wo be sura
Dekh Sayyaad ne, yeh kya  bol diya
Parinde ne parwaz ko par tol diya
Hamein   kuch  aisi  mili    aazaadi
Qafas khula magar parwaaz na ki

Na wajood mein koi shakhsiyat
Na   hi    inki    hai  koi   ahmiyat
Ke  bhale  lagein is  zamaane ko
Kaise   paida   ho  woh  haisiyat


Inki  dekh  kar  aisi  zehniyat
Paida  hoti  hai  yeh   kaifiyat
ghar bhool kar hain aaye yeh
Jise  kehte hein   ikhlaqiyat
 
Hoti hai in logon mein khaasiayat
Yeh hunar rehta hai shamil-e-tabiyat
Ke dekhte hain yeh sirf apna bhala
Kuch aisi  hi  hoti  hai  inki  tarbiyat
 
 
 
 
 

 

ashaar


Munh berukhi se pher liya dekhte hi khat  
Naama hamara un ko hamari shakal laga


Mushkil  hai  koi  raah  dikhaaye  inhein  seedhi
Behke hain qadam aise  sambhaale nahin banta


Aata halaal karna unhein bhi haram ko
Dekho riba ko wo muddal hai keh gaye


HUM NE KAHA KE LIKHTE HO TUM KHAT MUKHTASAR
TO KHAT KO TAWEEL US NE KIYA LIKH KE DOOR DOOR



Na barsaat,  na thandi,  na dekhi haraarat
Hoti thi uchal kood , karte thay  sharaarat
School ke din thay wo pyaare aur sunahrey
Har pal khushi rehti thi har lamha bashaarat

 

Agar imaan hai pukhta,   to saath hai qudrat
Hai lagaao  deen se, to kaun dekhe ghurbat
Khol  dega  Allah  sabhi  raaste  tere  waste
Bas  ek nek iraade ki  yehan par hai  zaroorat

 
Duniya mein  rehne ke  koi asbaab nahin hote
Agar yehan hamaare Dost Ahbaab nahin hote
 
 
----

ASHAAR


Har ek shakhs mein kai gunn chupe hote hain
Woh hi ubhar ke aate hain jo waqt pe khoj lein

Khaaliq ne jab chaaha to  Insaan bana
Aur kaha phir ‘kun’ to yeh Duniya bani
Kaaenaat mein sab ka tanasub phir bana
Ke fana hona hai sab ko jo hai cheez bani
Badal  jaayein kab  raahein aur manzilon  ke nishaan
Kahan ka  iraada hum karein aur pohanche hum  kahan
in short 
Chala to hai tu jaanib e manzil  magar
Milegi tabhi  khuda jab  yeh chaahay
 
Chaaya tha har taraf ghamon ka ansar
Tu aayaa hai is duniya mein khushi bankar
Liye baithe hain  kai Gham aur kai hum Darad
Ab wo zamaana kahan jo mil jaaye koi Humdarad
Kahin ifraat hai aur kahin faaqa hai khaane ko
Isi  haal  mein  dekha  hai abad se zamaane ko
kahan thehra hai ek jegah khushi ka kaarwaan
sabhi ke paas hai rehta yehan gham dikhaane ko
 
Yaad maazi  ki dila  deta  hai  pyaara  mausam
Bhulaayein kaise jo kaata tha waqt saath tere
Mausam se jud jaati hain jab yaadein kahin ki
Hum ko  besaakhta  tab  ‘TU’  yaad  aata  hai

Monday, November 3, 2014

VIDHARBA KE KISAAN - JAHAN ROZ EK KISAAN SUICIDE KARTA HAI - HUKUMAT PHIR BHI NAHIN JAAGTI


Daana Daana mohtaaji, daur qahat  say haalaat ka hai

Boond Boond paani  barsa,  mausam to  barsaat ka hai

 

Rehte hain haalaat yehi har saal jab saawan aata hai

Faaqon ka is gaaon se jaise sadiyun purana naata hai

 

Farq nahin  kuch bhi yehan,logon ke marne jeene se

Khaane ko  bhar pet  nahin, rok  hai  paani  peene se

 

Qarz  itna  logon ke sar  pe kamar  jhuki  hai  bojh  tale

Zimmedaari  saath  lagi  hai   har  waqt  in  ki soch  tale

 

Jo karna hai khud ko karna naam ke hain hamdard kai

Ghar ka kharch bachon ki padhaayee aur bhi hain dard kai

 

Jeene  ka  hai  maqsad  par   jeene  ka  samaan nahin

Ab  mar  jaana  behtar  hai , til til marein aasaan nahin

 

Yehi  haalaat  rahe to socho kya  kare ga  phir  insaan

Waise  hai  is  desh  ka  naaraa  jai  Jawaan  jai  Kisaan

 

EK DOST KE HAJJ KI DASTAN


Tha Hajj ka iraada safar kiya Makkah ki or

Pohncha Jeddah thi taareekh 28.10.1974               (seventy four padho )

 

Umr thi 22 ,  kiraaya rupiya saat sau pachas

Chand din kaam ke mile Riyal char so pachas

 

Qeemat un dino Riyal ki thi dhaayee rupiya

Yaani kaam ki kamaayee huwi  1,125 rupiya

 

Thay  5  din  Hajj  ke  aur kharch hua  300 riyal

Thi qurbaani jis mein aur kate thay mere baal

 

Aaj in baton pe yaqeen hamein nahin hota

Hajj aaj kal ab hazaaron mein bhi nahin hota

 

Allah qabool karey Hajj ko ho gunah maaf

Tha aqeeda Hajj ka aur niyat thi meri saaf

ASHAAR


Mujhe tum wajeh apne ghum ki bataao
Ke mein raaste apne bachne ke dhoondoon

--
Gale lag ke tum mujh se ro lo ghadi bhar
Ke  aankhon ki naali ka kachra to nikle

---

Hoga behtar jo hona hai aqeeda yun rakh
Chod bina baat  ke tu ab pareshaan hona

--

Kaise bhula tu yeh  aaj,   ke di na tu ne gaali
Teri  yeh bhool  bhi  lekin  hamein bhali si lagi
---
 
Shaur mujh ko mera khuda tu itna dey  dey
Ke ho gunah  koi to us ka  ilm  nuzool bhi ho
ta ke gunah ki mein dilse jab maafi maangu
to meri dua tere dar pe phir maqabool bhi ho
--

Kaash ke aata mujh ko  kuch paighaam aisa  
Hoti fursat mujh ko na hota  kuch kaam aisa  
Karta khushyun mein shirkat ki tayaari mein
Hota kuch aisa wo karte kuch intezaam aisa
--

Yaad maazi  ki dila  deta  hai  pyaara  mausam
Bhulaayein kaise jo kaata tha waqt saath tere
---

Mausam se jud jaati hain jab yaadein kahin ki
Hum ko  besaakhta  tab  ‘TOL’  yaad  aata  hai

ASHAAR


Badnaseebi ka ho gar har taraf daur-o- dauraa
Jo agar ho saath tum taqdeer badal jayegi
Manzar burey khwaabon ke kyon na kitney hon
thamo mera haath tum takbeer badal jayegi
--

Kahan  sab  se apna  mile  mizaj

Jo mile thay kal wo milein na aaj

Jo hain saath aaj honge door kal

Nahin rehta dil pe hamesha raaj

---


Qanoon ki aankho pe patti lagaayee,    ke dikhe na usay koi apne paraaye

Lekin   aaj  aisi  hai   phaili   buraayee ,   Mujrim yehan hain raaj karne ko aaye

Phir insaaf kaisa   do  kaisi duhaayee ,     jab qanoon khud sachchayee dabaaye

Kya hum karein pesh kar ke safaayee,      jehan hum ko na jaane khud  apne saaye

Jeet us ki    jis ne hai taaqat dikhayee,      to behtar hai adliya Jahaan se phir jaaye

 
---

 

ASHAAR


Piye  bin hi  mera  ab hosh  kho gaya hai
Qalam tha kya karna aur kya ho gaya hai.
--- 

Dekh aaj phir yeh behka qalam hai
Dawaat mein kya  ghalti se daaru padi hai

--- 
 
Jo ho haasil hamein dekna mausamon ka
To hum sirf Bambai ki baarish ko dekhein
---Dekhi aankhon ne meri aaj, maazi ki jhalak
Mudatton baad wo aaye jab milne hum se
-----

Taan li sab ne hai khudgharzi ki chaadar
So gayee ye qaum jo thi zinda javedan

---

Kya kijiyega ab sun ke,  kya kehti hai zindagi
Latka ke qabr mein pair jab baithi hai zindagi
 
---

Tumhara naam lene se zaban meethi huwee itni
Karela khaao bhi to ab hamein kadwa nahin lagta.

--

Kabhi tanhaayee mein aisa lage , koi apna aa chu le
Judi hain aisi yaadein maazi se, ke dil jis ko na bhule
--


Besharmi kaa aalam aaj logon ke rehan sehan mein hai
Kaise zuban tak baat pahunche jo mere zehan mein hai.

 

Saturday, October 25, 2014

ASHAAR


Mein insaan adna ,  aap ki shaan aala
Mein naacheez hasti , aap buland aur baala
Mujh gunehgaar ko  Madeena bula lo
Dua meri sun le  Allah subhaan wa taala.
 
 
---- 


YEH DUNIYA LAGE IS LIYE MUJH KO ACHCHI

KE AAQAA NE MERE YAHAN PAAON RAKHA


-----


Bata gaye raah  , jo bataane thay  waale

Karein kya agar wo bhatakna jo chahein

--


Ab mushkil hai logon ko yeh  batlaana

Karoge bura ,to phir  bura hoga  paana

Samjhte sabhi kya bura kya hai achcha

Jaan kar ab buray kaam karta zamaana

 

DOST KO MAIL NA LIKHNE PE DHAMKI MAZAAQ MEIN --TIME PAAS


Na dekha na bhaala tu bola,  Aye Laala
ke ab to nahin rukne wala mein Laala
Tera mail kal tak mila na jo mujh ko
Tere haath todne mein aaoonga Laala

Yeh jaanu mein karta hai tu  kaandi kaala
apun bhi Mukadam agar tu hai Laala
Panga na lena  tu mujh se nahin to
nikaalunga Laala , mein tera diwaala 

Mein ne hai khud ko ab tak sambhaala
Wagarna hoon kaisa jaane  tera Saala                               (  Brother in law..gaali nahin )
Darta nahin hoon phir mein bhi kisi se
Mein rakhta hoon chaaku Rampur waala

Jhopadpatti ki sab Maa Behan aur Khaala
Yehan sab hain jaane mujhe Gora Kaala
Bakhshta nahin mein kisi ko kabhi bhi
Meri baat ko agar sun kar ke  taala 

Ungli teri key board pe rakh,  Aye Laala
Warna na kehna , kaat  ungli  kyun daala
Ghusse mein mujh se chal jaata hai chaku
Soch ungli na rahi to,  na banega niwaala 

Jaa bakhash diya tujh ko mein hoon dilwaala
Chal hoja tu ab khush band kar apna naala
Jab ho teri marzi mail likhna mujhe tu
Yaad rakhna tu ,  kis se pada tera paala

ASHAAR


Apne wajood ko samajh shukr Allah bol
Shumaar tera hota hai nek bandon mein

--

Duaon ke zor pe chalti hai zindagi
Warna kahan bisaat ke ek pal koi  jiye

---

Sune baghair kisi shakhs ko na jhutla tu
Kya khabar ke nikal aaye naiki ka pehlu

--

Apne  tasawwur ko tu  yaqeen mein na dhaal
Ke wo hota nahin aksar jo tha socha hum ne.

-- 

Piye  bin hi  mera  ab hosh  kho gaya hai
Qalam tha kya karna aur kya ho gaya hai.

---

Dekh phir aaj behka yeh qalam hai
Dawaat mein ghalti se kya daaru hai daal di

----


Jo ho haasil hamein dekna mausamon ka
To hum sirf Bambai ki baarish ko dekhein

AAZAADI


Jaane kab tootein  zanjeerein mile aazaadi
Jaane kab hoga qafas ka ye parinda aazaad  

Jaane kab taale khulein ge zehan ke mere
Jaane kab hoga  yeh murda dil ZINDA  aabaad 

Jaane kab hogi pehchaan mujhe logon ki
Jaane kab mein reh sakoon ga  shaad baad 

Jaane kab hogi muqaddar mein mere khushiyaan
Jaane kab hoga haasil mujhe kehna zindaabad 

Jaane kab dil mera dhadhke khud apni  marzi
Jaane kab paayega sukoon yeh aadam zaad

 

TO KYA


Door manzil hai ,agar qadam thake to kya
Bojh bahut sar pe agar badan dukhe to kya
Shukr kar ke tu zindon mein hai kyun ke
Jo chal rahi hai zindagi yeh agar ruke to kya.
 

Zamaana zalim hai ye sar na jhuke to kya
Koi madad ko nahin, log hain ruKHe  to kya
Kisi se tu koi achchi  ummeed  na rakh
Khud pe ho eitmaad, haalaat be-tuke to kya
 

Dushman karein aapas mein muk muke to kya
Tera apna  koi  tera khayaal na rakhe to kya
Tu maanoos hai is duniya mein tanhaayee se
Bik gaye tere saathi, saath na koi tike to kya
 

Humsafar bichde koi rahbar na dikhe to kya
Qismat agar teri kaamyaabi na likhe to kya
Kaat zindagi apni tu ab be fikree se yehan
Is  daur mein gar ab sabaq na seekhe to kya