Kya bataaoon ke khojne mein tujhe
Jaane kahan sey main Kahan aaya
Dasht sahra samandar aur
pahaad
Dekh mein saare yeh jehaan aaya
Na jaanoon terI naaraazgi ki wajah
Soojh boojh apni mein ganwa aaya
Ki hai khataa to mujhe maafi de
de
Jo aayaa samjh mein wo zubaan aaya
No comments:
Post a Comment