Bhoole baithe hain hum zamaane se
Yaad mein jin ki thay deewaane se
Tareeqa-e-kaar mein , ab aayegi tere tabdeeli
Teri nazrein na shab o roz mujhe
dhundeingi
Woh jo karta tha aham waqt
ki tu barbaadi
Kaam ki ghadiyan ab , har pal ko tujhe dhudeingi
Aaj ke baad ab aayega ga adab ka bhi qahet
Na khila paayega gulshan yeh aankh ka paani
Main ne guzaar diye saare din yaheen haaye
Kaun kehta hai karta hoon main jo dil chaahe
Dil ki gar manta to Bombay ka main rukh karta
Bita diye din jaise beete tujhe yeh bin bataaye
Dekh ke dard ko ab kaise khud se door
karoon
Qurbaan kar ke baitha hoon sab khushiyaan meri
Sabhi kar aaya
qurbaan jo mere bas mein tha
Koi baateye ke main aur kya qurbaan karoon
Sab se mukhtalif thi is baar
meri Eid al Adhaa.
Sahibo main ne apni khushyuon ko qurbaan kiya
Khyaal khud se ziyaada kar doosra kisi ka
Qurbaani hi to naam hai doosra khushi ka
Detay hain zindagi mein qurbaaniyuon ko jo
Karte hain hum un
hi se qurbaaniyuon ka zikr
No comments:
Post a Comment