Har ek shakhs mein kai gunn chupe hote
hain
Woh hi ubhar ke aate hain jo waqt pe khoj
lein
Khaaliq ne jab chaaha to Insaan bana
Aur kaha phir ‘kun’ to yeh Duniya bani
Kaaenaat mein sab ka tanasub phir bana
Ke fana hona hai sab ko jo hai cheez bani
Badal jaayein kab raahein aur manzilon ke
nishaan
Kahan ka iraada hum karein aur pohanche hum kahan
in short
Chala to hai tu jaanib e manzil magar
Milegi tabhi khuda jab yeh chaahay
Chaaya tha har taraf ghamon ka ansar
Tu aayaa hai is duniya mein khushi bankar
Liye baithe hain kai Gham aur kai hum Darad
Ab wo zamaana kahan jo mil jaaye koi Humdarad
Kahin ifraat hai aur kahin faaqa hai khaane ko
Isi haal mein dekha
hai abad se zamaane ko
kahan thehra hai ek jegah khushi ka kaarwaan
sabhi ke paas hai rehta yehan gham dikhaane ko
Yaad maazi ki dila deta hai pyaara
mausam
Bhulaayein kaise jo kaata tha waqt saath tere
Mausam se jud jaati hain jab yaadein kahin ki
Hum ko besaakhta tab ‘TU’ yaad aata
hai
No comments:
Post a Comment