Talkhiyun ke saaye mein sadaaqatein bhi panaah leti hain
Dard ke maqaam mein raahatein bhi jegah leti hain
Ye nizaam e qudarat hai na waqt na mausam rahein yaksaan
Aziaton ki lehrein saath chaahatein bhi bahaa leti hain
Nafraton ke is jahaan mein mohabattein bhi saza leti hain
Aur mohabbat ke badle aksar nafratein bhi basa leti hain
Apne amal ke silay ki tu ummeed na kar zamaane se
Nekiyaan nuqsaan ki qeematein bhi chuka leti hain
Zindagi na shukri ban kar Nematein bhi ganwa leti hain
Khwahishein kya kum hon hasratein bhi badha leti hain
Laalach ke aage sabhi be bas hain is daur mein
Ye faaslon ke dard de kar qurbatein bhi chura leti hain
Kis ko samjhaoge ye nasl sohbatein bhi bura leti hain
Diwaangi ke aalam mein hidayatein bhi daba leti hain
Ajab sa tamaasha ban kar reh gaya hai ye daur
Jawaani aaj kal burzurg ki nasihatein bhi kahan leti hain