Wednesday, August 25, 2021

POEM

Khidmat e khalq se apni kai istifaada huway

Kum ki koshish phir bhi ziyaada huway 

Jab bhi apne liye hum ne socha kabhi 

Khyalaat khudkushi pe aamaada huway 


Badshah na bane hum piyaada huway

Na dikhaawa kia sab hi saada huway 

Daulat wohi jo baantein dunia ko hum

Hamaare kaam hasb e iraada huway 


Mahal dhaa ke saare buraada huway 

Taareekh ka hissa kai shahzaada huway 

Fana ‘a ek din hoti hain Taqatein

Ye kahaawat bhi ab aazmooda huway 


Is zamaane ke Nar sab Maada bhuway

Dil na sambhla sabhi Dildada huway 

Qaid hain ab ishq wishq ke jaal mein 

Wo Bhai Beta ya phir Baap Dada huway 


Gham e ishq mein mar ke Aadha huway

Pehan kar Majnoon ka lIbaada huway

Kaam ke thay kabhi ab hain faqat naam ke

Jab se Laila ki surat ke shyda huway 


No comments:

Post a Comment