Friday, November 3, 2023

Shaer

 Mukhatib huway wo ho ke kuch hum se jab naaraaz 

Ho gaye  numaayaan unke chupe huway sab raaz 

Surkh chehra, kapkapaate hont, nafrat bhari si aankh 

Rukha andaaz, kathakali karte haath aur besuri awaaz 

——////——/////——//////—-

Guzar gaye din is tarah jaise guzre lamha koi

Doston ki sangat thi, rahe na dost tanha koi 

—-///——///::—-///::://—-

Koi Pal ho koi lamha ,raat ho , yaa phir din 

Mehfil e yaaran chalti rahe jeene ke hain 4 din 

—/—/////——-:::////———:::////::——

Musalsal kashmokash aur jad o jahed hi karaati hai 

Zindagi kum hi  deti hai hamein  aaraam ke pal 

——://—///:::://———//////::::——-

Kabhi logon mein reh kar bhi hum tanha hi rahe 

Aur kahbi tanhaayee mein log aas paas lagte hain 





Wednesday, November 1, 2023

Ashaar aur nazm

Dhoop ki hogi shiddat tujhe padega bhatakna 

Jab chal pada manzil ki or peeche na palatna 

—///——/////——/::::-////

Ugte suraj ki kirnon ka rang sunehra dekha 

Hat’ta aankhon se kaali raat ka pehra dekha 

Ho gayee hai ab din ki shruaat bohut achchi 

Subha ek dost ka hansta huwa chehra dekha 

—/////-::::::::——////////———///—////::::

Rota huwa ek Pagal dekha 

Chaand ke peeche badal dekha 

Hansta huwa ek ghafil dekha 

Deewaana ek aaqil dekha 

Bhook se marta aalim dekha 

Badi tond ka jaahil dekha 

Paani se bhara saahil dekha 

Haq pe bhaari baatil dekha 

Samandar ko saakin dekha 

Aise waison ko haakim dekha 

—:////-//:;;;///////———-:—-//:;:::


Kabhi logon mein reh kar bhi hum tanha hi rahe 

Aur kabhi tanhaee mein log as paas lagte hain