Thursday, July 31, 2025

Pyaar


PYAAR MAUSAM NAHIN HAR ROZ JO BADALTA HAI 

PYAAR GAYA WAQT NAHIN JO HAATH SE NIKALTA HAI

PYAAR PAANA TO SABHI CHAHATE HAIN YEH TO MAGAR 

PYAAR TAQDEER MEIN HO JISKI USAY HI MILTA HAI 

PYAAR DUNIA MEIN SABHI JAANTE KE REHMAT HAI 

PYAAR MILTA UN HI KO JIS KI ACHCHI QISMAT HAI 

PYAAR QUDRAT KI BHEJI HUWEE EK NEMAT HAI 

PYAAR KO NA BADNAM KARO PYAAR TO EK AZMAT HAI 

PYAAR EK JAZBA HAI PAIDA JO KHUDA KARTA HAI 

PYAAR WOH TAAQAT HAI JIS SE HAR BURA DARTA HAIN

PYAAR KE AAGE SAB KA SAR ADAB SE JHUKTA HAI 

PYAAR TO PHIR PYAAR  HAI QISMAT SE HI MILTA HAI 



Kaliyaan

 Geet


HUA JAB BAAGON SE GUZAR TERA 

KAHA PHOOL NE RU SAYA HAI MERA 


ZULFON SE GUZAR KE PAWAN YE BOLI 

MEIN SWARG KI KHUSHBUON SE HO LI 


KALIYON NE KI ZID KE PHOOL NAHIN BANNA 

HAMEIN BANNA HAI TO BAS TERE JAISA BANNA 

BHANWARE BHI JO PHOOLON PE SAR THAY 

WO HAT GAYE 

DEKHA JO TUJHE TO PYAAR SE TUJH SE LIPAT GAYE 



Nisf behtar

 JAB KAPDE MERE DHOTI HO 

AUR MUJH KO ROTI DETI  HO 

TUM MUJH KO ACHCHI LAGTI HO

JAB GHAR KE BARTAN DHOTI HO 

AUR HATH DUKHEIN TO ROTI HO 

TUM MUJH KO ACHCHI LAGTI HO 

JAB GHUSSE SE PAGAL  HOTI HO 

AUR JHAGDA KAR KE SOTI HO 

TUM MUJH KO ACHCHI LAGTI HO 

JAB KAHOON MEIN KE TUM MOTI HO

AUR  HOSH TUM SUN KE KHOTI HO 

TUM MUJH KO ACHCHI LAGTI HO 



Tuesday, July 29, 2025

Dil ki Zuban

 Kai saalon se band kamre mein main yunhi dhadkata tha 

Main khoon ko raah dikhlaata jo ragon mein bhatakta tha 

Phir ek din meri dhadkan mein aa kar ke bas baitha 

Bhara khushiyun se daaman aur ghamon ko utha phenka 

Woh maasum si bholie si pyaari si lagi mujh ko 

Ke pehle kabhi bichdi thi aur ab aa ke mili mujh ko 

Be maqsad zindgai ko pyaar ka ehaaas dia usne 

Kaahmosh dhadkanon ko saaz aur awaaz dia usne 

Main apni kaifiat lafzon mein ada nahin kar sakta 

Zaban rakhta to kehta usko juda nahin kar sakta 



Neend

Aaj kal aankhon mein kuch nami si rehti hai 

Kya zindagi mein kuch kami si rehti hai? 

Raaton ko kyun main ab jaagta hoon 

Aankh lage to kyun darr ke main uthta hoon 

Ab to koi khwaab bhi nahin aate 

Fikron se pareshaan hi rahein raatein 

Ab Dunia mein meri ahmiat nahin baaqi 

Jaise khaali maikhaane mein hai koi saaqi 

Yeh kab talak hum ko rulaaegi Dunia 

Bahut hain jaag liye kab sulaaegi Dunia 





Maa

 Aisi Maa kahan milegi 


Aankhon mein tum ko basaaegi

Tumhein gaa ke lori sulaaegi


                                        Yeh fikr e jaan kahan milegi 

                                         Aisi Maa kahan milegi 


Jo kuch bhi tujhko kaha hoga 

Lafz jo bhi nikla dua hoga 


                                           Yeh zubaan kahan milegi 

                                            Aisi Maa kahan milegi 


Tu khush rahe ye uski mannat hogi 

Jis ke paaon tale Teri jannat hogi 


                                              Yeh daastaan kahan milegi 

                                               Aisi Maa kahan milegi 



Saturday, July 26, 2025

Geet

 Jis gul se mehakta tha gulshan ye saara 

Kahan ho gaya gum chaman dhoondate hain

Thein zulfein ghani baadlon se bhi jis ki 

Us sundar ghata ko gagan dhoondate hain

Dekh chehra jiska bhool jaate thay sab ghum

Hum ho kar ab us ko magan dhoondate hain

Kahan ja basay ho nazar se tum ojhal 

Yeh pathreele geele bayan dhoondate hain 


Poem

 Sochta hun ke khud khuda ko khat likhun 

Chala raha jis raah pe usay agnipath likhun 

Bahot le liya hai imtihaan hamaara usne 

Jitnay mile hain dukh usay bas hudd likhun 


Dunia mein jung ki wajeh mein sarhad likhun 

Kisaano ki barbaadi ki wajeh sookhi gard likhun

Tu ne to Dunia banaayee thi ek hi lekin 

Batwaare karne waalon ko mein bedard likhun 


Nafrat paida karne waale dilon ko sard likhun

Rishton ko paamaal karne walon ko sardard likhun

Kya milta hai inko buraayee karne mein

Muqabla inka jo seena taan ke kare usay mard likhun







Thursday, July 24, 2025

Ashar -1

Could help writing songs 

Dil mein chahat ka ek toofan sa kyun uthta hai

Tujh dekhun to kyun chalta huwa waqt rukta hai 

Jaane kya baat hai tujh mein tu achchi lagti hai 

Main bura hoon yeh soch ke dil dukhta hai 

———————-/////////—

Main chahun tujhe mile saari khushiyan 

Maal o daulat se ho bhari Teri dunia 

Khizaaon ka dukh chaman ko na pahunche 

Baharein hon,  har dum khile Teri kaliyan 

Teri rahon mein hon phool hi phool bikhre 

Nigahon mein khushiyun ke rang him nikhre 

Taraqqi mile, mile har qadam kamyabi ki manzil

Hon chaandi ki galiyan tere raaste hon sunhare 

—————///////——

Teri meherbaniyun ka zikr hi kya 

Kaise lautaun jo tu ne diya 


—————-/////——

Juda ho ke sachche premi kahan milte hain 

Koi swarg hai jagah ye wahan milte hain 

Ye dekh ke kaainaat bhi khush hogi bahut 

Bichde huway Dil jab zamaane ke baad milte hain

—————-//////—-

Haya ki surkhi samate huway chehra Tera 

Sharm se jhukta phir uthta hua chehra tera 

Kahin nikal na jaaye kisi ghareeb ka dum 

Woh palkein jhukaata uthata huwa chehra tera 

——————————//////——

Teri surat aankhon mein har waqt samaayee rehti hai 

Ye ghar hai mera kyun niklun har waqt mujhe ye kehti hai

Khush hota hoon to meee saath khushi se hanste hai 

Dukh ho agar koi mujhe to mere aansuon mein behti hai 

———///——————

Yaadon ko teri kaise bhula paaunga 

Ho kar ke juda tujh ko bhi yaad aaunga 

Kar dega yeh paagal mujhe tera jaana 

Tere jaane se main jeete ji mar jaaunga 

——————-:::::—/////—/-/

Ye zulfon ki aanchal mein chehra tera 

Ke badal mein nikla huwa chaand ho 

Muskurane se tere ye lab jo khile 

to kalyun si shokhi bhi maand hain

—————/:///////——

Teri yaad hai pal pal jo saath rehti hai mere 

Tujh ko soch kar ab har pal mera guzaara hota hain

Isi khumaar mein kut jaati hain Mushkil ghadiyan 

Tere khayaal mein Aaj o kal mera guzata hota hai 

Ghalatfahmi

 Mushkilon ke toofan ko Saahil kar raha tha 

Khushi se pareshaaniyaan haasil kar raha tha 

Udaas waadion mein guazaara karta tha 

Har fikron ki mauj ko kinaara karta tha 

Dekha tujhe to khushiyun sa ek jhonka aaya 

Jaise Mujhe khush rehne ka ek mauqa aaya 

Tere saath zindagi jeeno ko jee chaaha 

Dukhon se chaak daaman seene ko jee chaaha 

Tujhe samjha  to yeh jaana ke yeh mumkin hai kahan 

Main be rangi zameen tu sat ranger hai  aasmaan 

Zindagi

 Tum ek rooh ho koi machine nahin 

Zindagi, Zindagi nahin gar hum nasheen nahin 

Sangeet chahiye tumhein sangat chahiye

Qahqahe thode, khushiyaan nutkhat chahiye 

Aise lamhon ko Zindagi mein tum shamil kar lo 

Jahan bhi jaise bhi yeh milein inhein haasil kar lo 

Ranj o fikr ko apne gird na aane do 

Rok lo khud ko ye waqt guzar jaane do 

Dhalta suraj phir ubharta hai Zindagi ubhregi 

Gham e zindagi sar se nikalo to khushi bikhregi 

Hamein yeh padhaaya hai ke faqat kaam karo 

Kaam se milta hai inaam na aaraam karo 

Lekin hum ko har lamha moajaza chahiye 

Inaam nahin  baa maqsad zindagi ka maza chahiye

Monday, July 14, 2025

Quotes

 Quotes 

khushiyaan bhi paani ret (sand) aur hawa ki Tarah hoti hain jise hum mutthi mein qaid nahin kar sakte 

……………………………………….

Life 3 tarah sab ki hoti hai.

1) Haqeeqat mein chalte phirte kaam karte etc 

2) Khyaalon mein jo jaagte huway khwaab dekhe jaate hain 

3) khwaabon mein jo sote huway dekhe jaate hain 

Pehli yaani number one faces bitterness 

Doosri better hoti hai kyun ki pal bhar ko woh achcha Jee Leta hai khyaalon mein 

Teesri best hai kyun ki khwaab buray aaye to subha aankh khulne par wo aone aap ko samjha leta hai ke chalo khwaab tha.    

Aur agar khwaab achcha aaye to kam se kam  wo khushiyaan jo uski zindagi mein haasil nahin usko khwaabon ki dunia mein mil jaati hain.

Haqeeqat ki khushiyaan aur khwaabon ki khushiyaan ek jaisi hoti hain kyun ki dono khushiyaan pal bhar ki hoti hain.

Unquote 




Sunday, July 13, 2025

Poem

 Life is different from the days of school

There is no rank first second or third 

‘Failure’ can stop you for a while 

 But it can not take you backward 

success could come to anyone 

No matter you were dumb or a nerd 

So what if you have not studie

Masters from oxford  or Harward I

Get up don’t sit quite you can do it.                                    Just put your best foot forwar.


Phrases

 Zindagi apni hai marzi apni chalaaya karo 

Kisi ke behkaane mein tum na aaya karo 

Logon ka kya kuch bhi yeh kehte rahein 

Jo lage achcha wo kaam tum kar jaaya karo 

—————————————————————

Jab bhi aate hain pyaam e gham saath laate hain

Khushi ke maahol mein marsiye sunaate hain 

Kaise khair khwah qismat se mile hain mujh ko 

Jab bhi jaate hain koi dard hi de jaate hain 

——————————————————————-



Friday, July 11, 2025

Poem

 DUNIA KI HAQEEQAT KISI NE NA JAANI

KARTA HAI HAR KOI YEHAN MANN MAANI 

KAL KA BHAROSA HAI NA PAL KI KHABAR 

JAANE KISE MILE CHITA AUR MILE QABAR 

GUNEHGAARON SE BHARA HAI SARA JEHAN 

AB REHTE KAHAN HAIN FARISHTE YEHAN 

MAR KHAP GAYE JO THAY BOHAT NAAMI 

MARE KHUD KAHIN JAA KE YA AAYA TSUNAMI 



To DUSHMAN WITH LOVE

LADNA HOTA  HAI  BEKAAR 

BADAN HOTA HAI BEEMAAR 

TOD NAFRAT KI DEEWAAR

MEETHI BAATEIN KAR DO CHAAR 

TEZ DUNIA KI RAFTAAR 

HUM PEECHAY HAIN LAACHAAR 

HAR KISI SE SHARAMSAAR 

YEH KAR LE TU UPKAR

GALE  MIL JA BAN KE YAAR

TU BHI HAI SAMAJHDAAR

DUNIA DEKHE IS BAAR 

HUM AMAN KE HAIN KHARIDAAR

PYAR HUMARA HAI SANSKAAR

TO LADEIN KYUN BAAR BAAR 

CHOD DUSHMANI KAR LE PYAAR 

YEH HAI WAQT  KI PUKAAR 








Apna Koi

 HAR KOI YEH SAWAL KARTA HAI

KAUN KIS KA KHAYAL KARTA HAI

DUM NIKLE KISI GHAREEB KA TO 

KOI KAHAN MALAAL KARTA HAI 


KOI JEENA MUHAAL KARTA HAI

KOI JEE KO BE HAAL KARTA HAI 

BAAT KYUN KAREIN ZAMANE KI 

APNAA HI KOI KAMAAL KARTA HAI 


GHAYAB SAB KA MAAL KARTA HAI 

ROZI ROTI PAMAAL KARTA HAI 

AAJ KE DAUR MEIN KOI APNA HI 

AISA SAB KA YEH HAAL KARTA HAI 


KOI KAHE TO WABAAL KARTA HAI 

HO SHAMTI TO DHAMAAL KARTA HAI 

APNA ULLU SEEDHA KARNE KE LIYE 

KAAM WOH BE MISAAL KARTA HAI 



Thursday, July 10, 2025

Naani ki kahaani

 Tum ko dekha to yaad Naani kahaani jo kehti thi

Koh e kaaf hai ek jegah jahan sundar si ek Pari rehti thi 

Chaand sa chehra dhula dhula sa sab ko pyaara lagta tha 

Jo bhi dekhe dang reh jaaye aisa dulaara lagta tha 

Aankehin thi ya thay diye 2 har dam jalte rehte thay 

Zulfein uski lehraati Jaise badal chalte rehte thay 

Wo hansti to phool thay jhadte muskaan moti bikhraati 

Uski nagri uski galyun se khushiyun ki ek lehar si jaati 

Baatein jiski shahar se mithi hoti pyaari pyaari 

Sunkar jisko Dunia saari hoti waari niyaari

Khushiyaan hi khushiyaan lutaati jehan jehan wo  jaati 

Sab ke gham wo ghaayab  karti saare gham bhulaati 

Sunkar hamesha sochta yeh nanha sa mera dil

Kahan rehti hai yeh oaeu kaise jaaye yeh mil 

Tum ko dekha to yaad aayee naani kahani jo kehti thi

Koh e kaaf mein koi nahin wo tum hi thi jo rehti thi 

Mitti aur Patthar

 Suna hoga tum ne sabhi se ye aksar 

Bure logon ko log kehte hain patthar 

Samjhte hain patthar ko bejaan hai wo 

Samjhte nahin ye to naadaan hain wo 

Agar hote bejaan to hilte wo kyun 

Tsunami har ek baar aati hi kyun 

Paed paudon ko aisa samjhte thay log 

Be jaan hain aisa kehte thay log 

Tum hi khud socho ke kaise paed paude 

Nikalte hain zinda jab koi beejh bo de 

Mitti ko bhi hoga ab intezaar yeh 

Koi to kahega ke zinda hai yeh 

Kahan in ki shakal hu ba hu hai hoti 

Har mulk mein juda in ki Khushbu hai hoti 

Mitti patthar hain sab ko sambhaale huway

Goad mein apni Dunia ko daale huway 






Ashaar

 Tu na tha mere saath teri yaaadein thein 

Badi Mushkil ke thay din buri rahein thein 

Kaisi guzri hain yeh ghadiyaan naa poocho 

Niklate aankh se aansu aur dil se aahein thein 

—————————————————————-

Jise haasil hai is jehan mein teri sangat 

Dunia mein hi hai us ke liye is ki Jannat  

—————————————————————-

Main chaahoon tujhe mile saari khushiyaan 

Maal o daulat se ho bhari teri Dunia 

Khizaaon ka dukh tujh tak na pohanche 

Baharein hon har dum khilein teri kaliyaan 

—————————————————————

Teri Raahon mein hon phool hi phool bikhre 

Nigahon mein hon khushiyun ke rang nikhre 

Taraqqi mile mile har qadam kaamyaabi ki manzil 

Hon Chandigarh ki galiyaan tere raste  sunahre 

—————————————————————-



President

Na main sant na sadhu na Paighambar 

Zalim  kaha  logo ne aur kaha sitamgar 


Kaam karna chahata tha main zara hatkar 

Logo ne keh  dia mujhe is sadi ka Hitlar 


Mujhe mil gaya Dunia mein ek banda Osama 

Jis pe main ne Dunia mein macha dia hungama 


Afghan, Pakistan ko main ne sang liya 

Iraq pe laga ke ilzaam jung kia 


Logon ne mujhe nafrat ke kai naam diye 

America ne mujhe lekin kai inaam diye 


Bhool na sakun ga din 14 December 

Joota mujh pe phenka gaya tha 10 number 


Is pe bhi main kya kahion main khush hoon 

 Mamuli insaan nahin  main Bush  hoon 



Thursday, July 3, 2025

Dost

 DOST BURA KAAM KOI KARTE NAHIN 

DOST APNE KAHE SE MUKARTE NAHIN 

DOSTI HAI DUNIYA MEIN SAB SE BADI

DOST RAHTE AMAR HAIN MARTE NAHIN 


DOST SE HO JAAYE AGAR KOI KHATAA

DOST KO CHAL JAATA HAI  PEHLE PATA 

DOSTI  USKA HAL BHI BATA DETI BAI 

DOST HAQ DOSTI  KA HAI KARTA ADAA


DOST MILNA KISI KO BADI BAAT HAI 

DOST HAI PHIR MUSHKIL KI KYA BAAT HAI 

DOSTI KARTI HAI HAR MUSHKIL KO HAL 

DOST KO JAB KISI DOST KA SAATH HAI 


DOST DUNIYA MEIN KOI JO ACHCHA MILE 

DOST KO DO NA  JAANE, LAGA LO GALE 

DOSTI KA HI RISHTA HAI SAB SE BADA 

DOST JAISE PHOOL DUNIYA MEIN KUM HI KHILE