Sochta hun ke khud khuda ko khat likhun
Chala raha jis raah pe usay agnipath likhun
Bahot le liya hai imtihaan hamaara usne
Jitnay mile hain dukh usay bas hudd likhun
Dunia mein jung ki wajeh mein sarhad likhun
Kisaano ki barbaadi ki wajeh sookhi gard likhun
Tu ne to Dunia banaayee thi ek hi lekin
Batwaare karne waalon ko mein bedard likhun
Nafrat paida karne waale dilon ko sard likhun
Rishton ko paamaal karne walon ko sardard likhun
Kya milta hai inko buraayee karne mein
Muqabla inka jo seena taan ke kare usay mard likhun
No comments:
Post a Comment