Tum ek rooh ho koi machine nahin
Zindagi, Zindagi nahin gar hum nasheen nahin
Sangeet chahiye tumhein sangat chahiye
Qahqahe thode, khushiyaan nutkhat chahiye
Aise lamhon ko Zindagi mein tum shamil kar lo
Jahan bhi jaise bhi yeh milein inhein haasil kar lo
Ranj o fikr ko apne gird na aane do
Rok lo khud ko ye waqt guzar jaane do
Dhalta suraj phir ubharta hai Zindagi ubhregi
Gham e zindagi sar se nikalo to khushi bikhregi
Hamein yeh padhaaya hai ke faqat kaam karo
Kaam se milta hai inaam na aaraam karo
Lekin hum ko har lamha moajaza chahiye
Inaam nahin baa maqsad zindagi ka maza chahiye
No comments:
Post a Comment